Dastak koi deta hai raat raat bhar khayaal mein
Ulajh ulajh jaate hein uske khamosh sawaalon mein
Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua
aaj khada hai wh maasoom barbaadi ke kagaaron mein
Kuch samajh ka fer tha, kuch waqt ka dhokha, warna
Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein
Muddat baad Harsun  aaj bhi ek hi soorat dikhti hai
Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein
Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse
Aur baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaaron mein
Humne wo dard mol le liye hai bin daam ke bin baat ke
Milti nahin jiski dawaa duniya ke kisi bhi bazaaron mein
Meri gustakhiyon ki sazaa aakhir maut kyun nahi
Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein
Hum nijaat paate nahin, woh paas aate nahin
Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein
Hasraten ginte the jin ungliyon par gin gin kar
Toote hein armaan uske saikdon hazaaron mein              
Uske bina andhera hi milta hai door tak faila hua
Aur Dhoondhte hum roshini chamakte ujaalon mein

Popular posts from this blog