Tumhara woh mere ghar tak aana kaise bhoolen
Tumhara wo darwaaza khatkhatana kaise bhoolen

Tumhari  woh aawaaz aaj bhi bhulaayi nahin jaati
Tumhara bechainiyon ko chupana kaise bhoolen

Tum yaad karte the ye bhoolna mumkin hi nahin
Tumhara who meri yaadon me aana kaise bhoolen

Tumhari baaten aur shikaayaten ab bhi yaad hein
Tumhara wo baat baat par rooth jaana kaise bhoolen

Tumhara raahon mein palken bichana to yaad nahin
Tumhari raahon me aankhen bichana kaise bhoolen

Tum nahin ho mere naseeb mein, iska ilm hai hume
Tumhara phir bhi mere nazdeek aana kaise bhoolen

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार