for my brother-in-law who passed away on 25.5.2013

Nazar dhoodhti rah jaati hai us shaks ko
Jo door bahot door jab chalaa jaata hai
us jahaan mein jaane koi kaise rahta hoga
jidhar jaane se jeete ji har koi ghabraata hai

kya wahan bhi aasmaan neela hota hoga
kya wahan bhi mausam badalte honge
kya wahan bhi sukh dukh ka kaarvaan yu hi
zindgi ko bitaane ka zariya banaya jaata hai?

Kya sachmuch mein koi khuda hota hoga
Kya farishte zahad ka taqaaza karte honge
Yan dozakh aur jannat ke darwaazon par
Insaan khud Karamon ka taala lagaata hai?

Kya hooren wahan insaani dil bahalaati hongi
Kya pariyan apne seene se lagaati hongi
Kya sar-e-arsh ki hasrat rakhne waalon ko
Bin sharton ke wahaan Qaboola jaata hai?

Jo hasraten rah gayin thi jahaan mein baaki
Kya us jahaan mein mukkammil hoti hongi
Kya insaan ki taqdeer aur tadbeer ka hisaab
Agle janam ki shakl mein likhaa jaata hai???


Farishte: angels, Zahad: good deed, taqazaa: settlement, dozakh: hell, jannat: heaven
Karamon: deeds, hooren: fairies, sar-e-arsh-seventh heaven, hasrat: desire, qaboola: accepted,
Mukaammil – complete

Popular posts from this blog