Maine kab tumse tumhara waqt sara maanga tha
Bus sabhalne ko tumse thoda sahara maanga tha

Tum saahil pe khade the aur hum bhanwar mein
Tumse tumhari zameen ka ik kinaara maanga tha

Tere pyaar mein teri parasti ko is qadar bebas hue
Ke tere kadamo mein ek kona dobara maanga tha

Apne raqeeb se guzaarish karen bhi toh kaise kare
Usse uska nahin, haq humne hamaara maanga tha


Hasraten dil ki kya thi kya rah gayi e mere khuda
Khudai nahi Teri rahmaton ka ishaara maanga tha

Popular posts from this blog