Meri Choti si gudia ab badi ho chali hai
Aage ki duniya bus tere piya ki gali hai
Tu dil ka tukda tu mere ghar ki bahaar
Mahkta mera aagna tu wo mithi kali hai

Wo chote chote se paanvon se matak matak ke chalna
Wo thirakna har geet pe aur baat baat pe machalna
Wo gusse mein muh fulaana aur woh aankhen dikhana
Har baat se teri yaaden judi hein
Meri choti si gudia ab badi ho chai hai

Wo padna, padaana aur bahaane banaana
Wo doston ke saath ghanton tak batiyaana
Wo khat wo letter sabse chupaana
Har baat se sach teri yaaden judi hein
Meri choti si gudia ab badi ho chali hai

Kuch baaten ab meri bhi tu sunti jaa bitiya….Ye yaad rakhna ke

yeh ghar ab tera to hai magar tujhse paraya hai
tu Jahaan jaa rahi hai wo tere sapno ka saya hai
Wahin maa milegi tujhe wahin pita bhi honge
Wahi humne tere aane waale kal ka sansaar banaya hai
Wahan kaante bhi honge aur phool bhi khilenge
Wahin sukh bhi hoga aur dukh bhi milenge
Wahin tere daaman mein chaand aur taare
Tere apne karam aur dharam ke lamhe silenge
Wahan tujhe ab apna sansaar sajaana hoga
Wahan tujhe har shaks ko apna banana hoga
Rishte khatte meethe honge lekin ye yaad rakhna
Wahin tujhe apna har ek rishta nibhana hoga
Tu jaa rahi hai magar dil mein hamesha rahegi
Is ghar is aangan ke kone kone mein teri soorat dikhegi
Jab kabhi zindgi mein main akeli rah jaaungi
Mujhse meri yaad teri har baat kahegi
Magar ab in baaton ka koi waqt nahin
Ab sirf ek baat samjhaani hai
Tu meri apni beti hai
Magar tu izaat begaani hai
Sadaa khush rahna,
achcha bura waqt shanti se sahna
apna farz nibhana, aur apno se jud jana
mere bachche hamesha apno ke kaam aana…

Popular posts from this blog