Mujhe mujhse mile hue ek zamaana beet gaya
Mera aaina bhi mujhe ab teri hi soorat dikhata hai
Kaisi ajeeb si kahaani ban gayi hai teri badakashi k
Jaam koi peeta hai, kadam mera dagmagaata hai
Dur rahne ka iraada karte hein har shaam lekin
Subah uska ek paigaam phir us tak le aata hai
Hausla nahin hai magar dil jhooth mooth mein
Usko tang karta hai aur khud ko bhi satata hai
Khat likhne ki ek aadat si pad gayi hai is umr me
Majmoon har harf ka bus haal-e-dil batata hai
Aji kuch to hoga ilaaj is la-ilaaj marz ka miyan,
Ke dekho bin ilaaj ke dil beemaar hua jaata hai