ek din tum meri tasveer se kuch naraaz the humne apni tasveer apne haathon mita di jab humne bhi ye hi guzaarish ki tumse tumne meri baat hanskar hansi mein udaa di haq maangna to bahut aasaan hai janaab haq dena par to baat zid par pahuncha di koi gila nahi magar ek baat zaroor kahenge ek choti si guzarish bhi bahaano se manaa di ....
Posts
Showing posts from September, 2012
- Get link
- X
- Other Apps
haathon mein haath aane se kya jannat naseeb hoti hai kya kabhi dil se bina mile, dil ki dhadkan kareeb hoti hai koi bhi fanaa nahin hota raah-e-mohabbat mein yahan jo ulfat mein majboor ho bus uski haalat ajeeb hoti hai humne bahut sirfire aashiq dekhe hein is jahaan mein bhalaa ashiqui bhi kisi shaks ki kabhi najeeb hoti hai?? ab yeh dil kabhi dhokha na khaayega, bus tay kar liya kyunki dard se abas paane ki bus ye tarqeeb hoti hai.... fanaa - sacrifice ulfat - love najeeb - noble abas - indifference
- Get link
- X
- Other Apps
raat ka habeeb beshaq chaand hota hai, lekin uska sachcha aashiq aaftaab hai, chaand aata hai baadlon ke hijaab mein, aaftaab hamesha rahta be-naqaab hai, chaand ke aagosh mein rakh kar bhi, har raat ko sooraj ka itekhaab hai, kyuki mahtaab ka mijaaz barfana hai, sooraj ka pyaar ek jalti hui aag hai....
- Get link
- X
- Other Apps
sulagti saanson ko kuch to karaar de do chahe ek hi raat ka magar pyaar de do hum jahaan luta denge tere kadmo pe tum hume khud par itna ikhteyaar de do jism rookha rookha sa lagta hai tere bin is jism choo kar thodi si bahaar de do khud par se yakin ab uth sa gaya hai tum mere dil ko ab apna aitbaar de do meri rooh ko jahan sukoon nijaat ho kuch der ke liye mujhe wo dayaar de do... ikhteyaar - haq, right nijaat - freedom dayaar - house
- Get link
- X
- Other Apps
मुझे अब भी टूट कर बिखरना आता है किसी के प्यार में जीना मरना आता है गर तूने उकसाया तो सच तेरी कसम मुझे अब भी हर हद से गुज़रना आता है गर आइना टूट गया तो परवाह नहीं मुझे अपने आप से संवरना आता है मेरे क़दमों में आज भी इतना दम है मुझे तनहा ही सफ़र करना आता है तवज्जोह न दी तो क्या जीये नहीं? मुझे अपनी साँसों से उलझना आता है खुदा के लिए खुदा का वास्ता न देना के मुझे उस खुदा से भी लड़ना आता है
- Get link
- X
- Other Apps
tasveeren bolti hein mujhse raat raat bhar jab koi door hokar bhi mere paas hota hai deewaron par uski parchai dikhaai deti hai aur uska saaya mere khwaab mei sota hai main saans leti hoon uski chhdi saanson se ye jism uski tapish mein aatishbaar hota hai kitne khayaal tod dete hein ye soch sochkar har wo khayaal jo usse agar begana hota hai apne hi dil se hum pareshaan ho jate hein jab wo hume bhulakar uske gum me rota hai bikhar jaata hai har mulaakat ke baad jo mera zahan wo ek ek pal baar baar pirota hai...
- Get link
- X
- Other Apps
phir ek bhooli si kahani yaad aati hai phir ek yaad darwaaza khatkhataati hai jo saaya hum peeche chhod aaye the us saaye ki parchaai bahot sataati hai waasta bhi den use ko kis baat ka den rishte ki dor aaj jodo, kal khul jaati hai ek soorat jo mere zahan se nikal gayi thi aaine mein phir wo kyu nazar aati hai...???
- Get link
- X
- Other Apps
aag barasti hai aasmaano se aur nazar aansuon se sookh gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi ab to megh barsa, baarish de, ghar har ke sabko gud- dhaani de ab to dharti ko chunar oda ab to har khet jo ji bhar ke paani de phir se bandha de har wo aas, jo tujhe judte judte ab toot gayi bhar de baadal aasmaan mein, jagaa wo umeed jo chhoot gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi bula de us baarish ko is baras bhi jo teri khudaai se rooth gayi........
- Get link
- X
- Other Apps
lagta hai tumne baadlon ko hamare wasl ka kissa kal raat sunaaya hai tabhi to toot kar dekho aaj saawan aaya hai.... hamare hijr ka mausam bhugta zaamane bhar ne aur milan ki raat ke baad sara jahaan baarish mein yun bheeg paaya hai... hum na jaante the teri is adaa ki khumaari par angdaai lega aasmaa bhi aur yun barsega jaise uska mahboob aaya hai
- Get link
- X
- Other Apps
har boond barasne se pahle ghabraati hogi baadalon se bichadne pe aansu bahati hogi kabhi sochti hogi ke kahan jaakar giroongi kabhi gir jaane ke darr se darr jaati hogi kabhi khuli hui seep ka mukhda dekhkar moti banane ke sapne zaroor sajaati hogi aur kabhi samandar mein bahti laharon se apni purani pahchaan par itraati hogi neeche jungle mein bahte naalon ko dekh man hi man machliyon se batiyaati hogi aur kabhi aag mein girne ki soch bhar se woh bechari choti si boond jal jaati hogi aur jab barsate megh usko dhakelte honge chupchaap se rela bankar baras jaati hogi phir jaise sasuraal mein ram jaati hai dulhan is zameen mein waise hi ram jaati hogi,,,,
- Get link
- X
- Other Apps
ab shabd zubaan par aate nahi ab dil ke taar jhanjhanaate nehi jin rishton ko bhoole waqt hua ab wo rishte hume rulate nahi... pahle intezaar rahta tha kisika ab uske liye hum dil dukhate nahi har saans jis shaks ke naam thi ab usko yaadon mein bhi laate nahi... tasveeron se baaten karte the ab tassavvur bhi uska sajaate nahi bechainiyon ka sabab banaa tha jo usko ab khwaab mein bhi bulate nahi..
- Get link
- X
- Other Apps
जलती शामों को बुझाने आ जाओ एक रात मेरे संग बिताने आ जाओ ... सुबह का सूरज बेरंग लगे सुबह से मेरे दिनों को रंग लगाने आ जाओ .... रात की रानी शब् में खुशबू घोलती हैं गजरे की कलियाँ बालों से बोलती हैं जुल्फें तकियें पर बिखरी हैं बेकल हो अपनी उँगलियों से सुलझाने आ जाओ ... चंद अरमान अब दिल में मचलते हैं तेरे सायों के नीचे मेरे साए पलते हैं छावं में, धूप में, बारिशों के रूप में बदलते मौसम के बहाने आ जाओ ... जुबां पर लम्बी उदासी का पहरा है दिल में लगा ज़ख्म अभी भी गहरा है बस तुझसे मिलने को बेकरार हुए हैं मेरी तन्हाई को मिटाने आ जाओ ... गुंचों को फिकर नहीं बहारों को असर नहीं किसी को भी मेरी दीवानगी की खबर नहीं सारा आलम बेपरवाह हुआ बैठा है तुम ज़माने भर को बताने आ जाओ ...
- Get link
- X
- Other Apps
अब तक मुझसे तेरा इंतज़ार ख़त्म नहीं हुआ मेरी जिंदगी पर तेरा इख्त्यार ख़त्म नहीं हुआ .. यूँ तो एक दिन मुकम्मल हो जाता है वक़्त भी लेकिन इस दिल से तेरा प्यार ख़त्म नहीं हुआ ... बहारें आकर चलीं गयीं अब पतझड़ का मौसम है के पतझड़ में भी उम्मीद-ए-गुलज़ार ख़त्म नहीं हुआ.. क्या क्या भुलाएँ दिल से और क्या कुछ दफनायें मेरी सपनो का मैय्यद-ओ-मज़ार कह्तं नहीं हुआ ... नश्तर इतने लगे हैं के रूह तक घायल हो गयी परेशां हैं के अब तक उसका वार ख़त्म नहीं हुआ ... हमने ज़माने ने में बहुत लोगों को आजमाया है फिर भी उस एक शख्स पर ऐतबार ख़त्म नहीं हुआ .. कुछ पल तस्कीनियों के खरीदने निकले थे एक दिन मगर उसका गम बेचने का बाज़ार ख़त्म नहीं हुआ .. आज शिकायत कर रहे हैं लेकिन खुद से शर्मिंदा हैं के किसी से किये वादों का उधार ख़त्म नहीं हुआ ...
- Get link
- X
- Other Apps
मेरे परों पर मेरे आशियाने का भार रहता है ये नाज़ुक बदन सैकड़ों तिनकों का बोझ सहता है ... पनाह ढूँढ़ते ढूँढ़ते जिंदगी की शाम हो गयी है अब एक सहमी हुई रात का इंतज़ार रहता है ... बिन बोले मेरी बात हो जाती है उस खुदा से बिन मांगे अक्सर ठिकाना भी मिल जाता है बस नहीं मिलती तो वो चीज़ जो सुकून है जिसके लिए दिल-ए-मासूम बेज़ार रहता है ... कभी गुजारिश नहीं की, कभी ख्वाइश नहीं की बस गुज़ारे किये हर पल को आखरी पल समझ एक जुस्तजू रह गयी कहीं कोने में दिल के वहीँ दिल के जिस कोने में मेरा दिलदार रहता है ..
- Get link
- X
- Other Apps
न हाथों से छूकर न होंठों से लगाकर बस आँखों से देख उसे प्यार करते हैं वो कहीं भी मौजूद नहीं है लेकिन हम सपनो में उसका दीदार किया करते हैं.... मेरी सरहदों के पार उसका बसेरा है मेरी तवज्जो के परे उसकी हस्ती है बारहां उसके दर से खाली लौटकर भी सजदे उसी के दर के बार बार करते हैं फिर भी उससे किनारा नहीं कर पाते के मेरी रूह उसके जिस्म में बसती है कुछ तो उसमे ऐसा है के उसपर हम खुद से ज्यादा ऐतबार किया करते हैं...
- Get link
- X
- Other Apps
जली हुई और जलती रात में फर्क बस इतना है... एक राख हो जाती है, एक राख कर जाती है एक हिज्र की बेचैनियों में जला देती है एक वस्ल-ए-आतिश में ख़ाक कर जाती है एक उफक के अख्तर तक भी निगल लेती है एक अमावसी आसमां को महताब कर जाती है एक रौशनी के उजाले बर्दाश्त नहीं हो पाती और एक ज़र्रे ज़र्रे को आफताब कर जाती है ... hijr - separation, wasl-e-aatish - fire of meeting with lover, ufak - horizon, akhtar - stars, mahtaab - moon, zarra - small particle, aaftaab - sun