har boond barasne se pahle ghabraati hogi
baadalon se bichadne pe aansu bahati hogi
kabhi sochti hogi ke kahan jaakar giroongi
kabhi gir jaane ke darr se darr jaati hogi
kabhi khuli hui seep ka mukhda dekhkar
moti banane ke sapne zaroor sajaati hogi
aur kabhi samandar mein bahti laharon se
apni purani pahchaan par itraati hogi
neeche jungle mein bahte naalon ko dekh
man hi man machliyon se batiyaati hogi
aur kabhi aag mein girne ki soch bhar se
woh bechari choti si boond jal jaati hogi
aur jab barsate megh usko dhakelte honge
chupchaap se rela bankar baras jaati hogi
phir jaise sasuraal mein ram jaati hai dulhan
is zameen mein waise hi ram jaati hogi,,,,