tasveeren bolti hein mujhse raat raat bhar
jab koi door hokar bhi mere paas hota  hai

deewaron par uski parchai dikhaai deti hai
aur uska saaya mere khwaab mei sota hai

main saans leti hoon uski chhdi saanson se
ye jism uski tapish mein aatishbaar hota hai

kitne khayaal tod dete hein ye soch sochkar
har wo khayaal jo usse agar begana hota hai

apne hi dil se hum  pareshaan ho jate hein
jab wo hume bhulakar uske gum me rota hai

bikhar jaata hai har mulaakat ke baad jo
mera zahan wo ek ek pal baar baar pirota hai...

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार