duaon ka silsila jo chala chalta gaya
ke har dua mein uski ka naam aaya hai
kafan ki ab shaayad zaroorat nahi pade
ke maut ke saayon me zindgi ko paya hai
uthi jo aawaaz dekho dheemi na pade
har haath ne har haath se haath milaya hai
ek ladki jo ladi to duniya ladne nikal padi
is thand mein logon ko garam josh aaya hai
jo zid hukumat ki to zid aawaam ki bhi hai
tyaar raho ke imtehaano ka waqt aaya hai
nikal kar dekh to kitna shor hai gali gali
ab jaug jeet lenge ke jeet ka mausam aaya hai
bus rukna nahi jhukna nahi date rahne hai ke
is taakat pe hukumraanon ne bhi sar jhukaya hai...

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार