ab tak sarsaraahat baaki hai , ab tak wo khumaar utra nahi, ke tera tassavvur hi kafi hai, mere hosh udaane ke liye... kaise raat kati ye mat pooch, kaise din bitega maloom nahi, shaam ko milne ka waada hai, ek tasvir bhej de tab tak dil bahalaane ke liye ...
Posts
Showing posts from July, 2012
- Get link
- X
- Other Apps
aag barasti hai aasmaano se aur nazar aansuon se sookh gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi ab to megh barsa, baarish de, ghar har ke sabko gud- dhaani de ab to dharti ko chunar oda ab to har khet jo ji bhar ke paani de phir se bandha de har wo aas, jo tujhe judte judte ab toot gayi bhar de baadal aasmaan mein, jagaa wo umeed jo chhoot gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi bula de us baarish ko is baras bhi jo teri khudaai se rooth gayi........
- Get link
- X
- Other Apps
wo muqaddar mein to tha taqdir mein shaamil nahi tha kismet ne to aksar milaya magar wo mera haasil nahi tha bharosa lahron pe karna shaayad ek nasamajhi hi thi meri wo shaks mera nakhuda to tha magar mera saahil nahi tha meri shaksiyat ke har pahlu se waakif tha wo muddaton se lekin meri zindgi ke andheron ujaalon mein daakhil nahi tha sirf chaahne bhar se yahaan khuda mil jaata nahi kisi ko bhi wo mohsin to tha garche meri mohabbat ke kaabil nahi tha ... haasil - gain, nakhuda - boatsman, saahil - shore, shaksiyat - personality, waakif - known, daakhil - admitted, mohsin - benefactor, garche - even though
- Get link
- X
- Other Apps
khuda se haath uthaakar maange bhi to kya maange hasraten yun hi sochne bhar se woh poori karta hai uske dar pe har wo shaks sajde mein sar jhukata hai jo us paak parwar-digaar ki rahmaton se guzarta hai duaon ka asar zaroor hota hai gar dil se maangi jaye uske naam lene bhar se chehra noor sa nikharta hai dilon mein basta hai har ek ke, maseeha bankar har us maula ki sohbat mein sabka wajood sawarta hai... mere sab doston ko ramadaan kareem...
- Get link
- X
- Other Apps
doobte ko kabhi tinka bachaa nahi sakta saagar ki lahron se wo takra nahi sakta ye to bus ek hausla hai jo bachaa jata hai ke sahaare ke bina koi paar ja nahi sakta.... khush hone ke liye ye insaan soch leta hai bahut taaqat hai usme kuch kar guzarne ki naadaan hai wo khud ko is kaabil samajta hai ke bin kismet ke wo patta tak hila nahi sakta...
- Get link
- X
- Other Apps
har shamaa ko parwaana nahi milta har parinde ko aashiyaana nahi milta gharonde jo banaate hein tinke jodkar kai baar unko bhi thikana nahi milta ... umr daraazi ki duaayen kya karenge jab kisi ko jeene ka bahana nahi milta bada hi sangdil hai duniya ka dastoor yahan maut milti hai aabodana nahi milta...
- Get link
- X
- Other Apps
अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें उस दिन अपनी साँसों में ही बसा लेती और जिंदगी उन्ही साँसों को लेकर बिता देती.... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो लहू के कतरे बना तुम्हें रगों में समा लेती और जिंदगी की रंगीनियाँ उन्ही से सजा लेती.... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें आँखों में काजल की तरह छुपा लेती और जिंदगी भर बादलों को कालिख उधार देती ... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें भींच कर इस तरह गले से लगा लेती और जिंदगी तेरे आगोश है खुद को समझा देती ...
- Get link
- X
- Other Apps
क्या करेंगे हम चाँद का हमे दीया ही काफी है उसकी रौशनी पर सिर्फ मेरा ही इख्तेयार है चाँद के नखरे कौन उठाये के उसको गुरूर है के ज़माने भर को उसकी चांदनी से प्यार है .... .. हाँ मेरा दीया सिर्फ मेरे खातिर ही जलता है उस वजूद का हर कतरा मेरे लिए पिघलता है और चाँद बेचारा समझ ही नहीं पाता के वो खुद जलता है या सूरज के इशारों पे चलता है किस किस को बेचारा रोशन करे रात भर के ज़माने भर का उम्मीदों का उसपर उधार है ... मेरा दीया रातभर मेरे घर का अँधेरा मिटाता है रोज़ रोज़ खुद को जलाता है और बुझाता है और चाँद के उजाले पर कोई क्या भरोसा करे कभी अपना आकर बढाता है कभी घटाता है और फिर सो जाता है काली रातों में कई बार होता जब भी अपनी ही चांदनी से बेज़ार है ...
- Get link
- X
- Other Apps
Jo yaadon mein ho usko bhulaya nahi jaata jo bhool jaata hai wo kabhi yaad nahi aata... badaa ajeeb sa dastoor hai is mohabbat ka kabhi duri sahi nahi jati, kabhi paas aya nahi jata.. sunane ko to kahaniyan banaayi jaati hein poocho to haal e dil apna bataaya nahi jaata... paigaam likh kar doston ko to diye jaate hein ek khat bhi hum tak magar bhijwaya nahi jaata.. log duhaai dete hein apni tanhaaiyon ki harsu magar saath kisika bhi unse nibhaya nahi jaata khayaalon mein janam bhar ki baat sochi jati hai haqiqat mein kabhi bhi unse bulaya nahi jaata khelte hein aksar jis dil se wo anjaan bankar raham khakar us dil ko kabhi bahalaya nahi jaata aadat hai har baat mein sach chupaane ki aisi suna hai unse khud se bhi sach bataya nahi jata hum kyunkar pareshaan karenge apno ko aise jab humse dushmano ko bhi sataya nahi jaata jitna chaahe begana bane jitna chaahe door jaye haal-e-dil unka ab duniya se chupaya nahi jaata uski nazar se berukhi hume zaahir nahi h
- Get link
- X
- Other Apps
sabr hai ab na karaar hai bus ek lamba ntezaar hai.. koi dekhe kab tak raah uski jiske liye dil beemaar hai... gar roothte hein hum toh wo manaate nahin kabhi gar wo roothen hein toh yeh dil kyu bekaraar hai... roz roz aisa hi hota hai subak kar dil yu rota hai aansu to udhar bhi hein iska beshaq aitbaar hai ... woh raaton ka jaagna aur needon se bhagna koi yun hi nahi besabab hota din raat bezaar hai... teen lafz bhi poore nahi do lafz hein adhoore sahi sirf dhai shabd kah do ab ke tumhen bhi pyaar hai...
- Get link
- X
- Other Apps
हमने अपना इश्क ज़माने में सरेआम कर डाला खुद ही खुद को जहां भर में बदनाम कर डाला तुम ने तुम तक पहुँचने के सब रास्ते बदल डाले मेरे जूनून ने एक पुल बनाने का अंजाम कर डाला तुम दरवाजों और खिडकियों पर पर्दा करते रहे मेरी दीवानगी ने आसमान तक को बार कर डाला तुम मेरे भेजे पैगाम चुपचाप पढ पढ जलाते रहे हमारे इश्तेहारों ने मगर ख़त का काम कर डाला ये चारागर भी कितना हैरान है मुझे जिंदा देख कर के मेरी जिद ने ज़हर को दवाओं का नाम कर डाला हम चिराग-ए-मोहब्बत जलाते रहे, तुम बुझाते रहे के मेरी हिम्मत को आधियों ने भी सलाम कर डाला मुद्दा ये है के तुम तक आंच पहुंचे मेरी फुगाओं की हमने अपनी हस्ती को आतिश के नाम कर डाला जो तुम्हें मेरा दिन में बुलाना रास न आया हो कभी जा हमने अपनी साड़ी जिंदगी को शाम कर डाला कोई तो जरिया होगा तुम तक आने का ये सोच हमने अपनी हर रहगुज़र को तेरा मुकाम कर डाला
- Get link
- X
- Other Apps
चलो माना हम दस्तूर-ए-हबीबी नहीं जानते, यारी निभाने का सलीका नहीं पहचानते, फर्क प्यार और दोस्ती में हमें समझ नहीं आता. इन रिश्तों को निभाना कहीं सिखाया नहीं जाता, बहुत पशोपेश में पड़े हैं कैसे उन्हें समझायें, इस कशमकश से निकलने का रास्ता कहाँ से लाये, मगर तुम तो समझदार हो, इन सब मामलों में बहुत होशियार हो, तुम्हें तो इन दोनों में फर्क करना आता है फिर तुम्हारा दिल क्यूँ मचल मचल जाता है, हमें तो लाख बार दिन रात समझाते हो, फिर क्यूँ पग पग पर फिसल जाते हो, कहते हो सिर्फ दोस्त हो हमारे, कभी बताते हो अपनी जागी रातों के नजारे, क्या तुम्हे पता है क्या चाहते हो, क्यूँ हमें समझाकर खुद को झुठलाते हो, तुम्हे भी शायद इस बात की हैरानी है, दोस्ती और प्यार के फर्क पहचानने में परेशानी है!!!
- Get link
- X
- Other Apps
hijr se koi gila nahi, kyunki woh taqdeer hai wasl se ilteja nahi, wo sapno ki taabeer hai, bus meri tamanaayen tujhse mukhaatib hein aur meri jholi khaali hai, tu dil ka kabeer hai... kal raat fir hui hai sapno mei adhuri mulaakat aaj subah phir se dil bechain aur adheer hai ab to intezaar hai, gum-e-furqat mit jaane ka yu waqt kab meharbaan ho banta basheer hai.. hijr- separation, wasl - union, ilteja - request, tabeer - base, mukhatib - addressed, kabeer- large, immense, gum-e-furqat- sorrow of separation, basheer - messenger of good news