har shamaa ko parwaana nahi milta
har parinde ko aashiyaana nahi milta
gharonde jo banaate hein tinke jodkar
kai baar unko bhi thikana nahi milta ...
umr daraazi ki duaayen kya karenge
jab kisi ko jeene ka bahana nahi milta
bada hi sangdil hai duniya ka dastoor
yahan maut milti hai aabodana nahi milta...

Popular posts from this blog