wo muqaddar mein to tha taqdir mein shaamil nahi tha
kismet ne to aksar milaya magar wo mera haasil nahi tha
bharosa lahron pe karna shaayad ek nasamajhi hi thi meri
wo shaks mera nakhuda to tha magar mera saahil nahi tha
meri shaksiyat ke har pahlu se waakif tha wo muddaton se
lekin meri zindgi ke andheron ujaalon mein daakhil nahi tha
sirf chaahne bhar se yahaan khuda mil jaata nahi kisi ko bhi
wo mohsin to tha garche meri mohabbat ke kaabil nahi tha ...
haasil - gain, nakhuda - boatsman, saahil - shore, shaksiyat - personality, waakif - known, daakhil - admitted, mohsin - benefactor, garche - even though