aag barasti hai aasmaano se aur nazar aansuon se sookh gayi
bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi
ab to megh barsa, baarish de, ghar har ke sabko gud- dhaani de
ab to dharti ko chunar oda ab to har khet jo ji bhar ke paani de
phir se bandha de har wo aas, jo tujhe judte judte ab toot gayi
bhar de baadal aasmaan mein, jagaa wo umeed jo chhoot gayi
bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi
bula de us baarish ko is baras bhi jo teri khudaai se rooth gayi........