hijr se koi gila nahi, kyunki woh taqdeer hai
wasl se ilteja nahi, wo sapno ki taabeer hai,
bus meri tamanaayen tujhse mukhaatib hein
aur meri jholi khaali hai, tu dil ka kabeer hai...

kal raat fir hui hai sapno mei adhuri mulaakat
aaj subah phir se dil bechain aur adheer hai
ab to intezaar hai, gum-e-furqat mit jaane ka
yu waqt kab meharbaan ho banta basheer hai..

hijr- separation, wasl - union, ilteja - request, tabeer - base, mukhatib - addressed, kabeer- large, immense, gum-e-furqat- sorrow of separation, basheer - messenger of good news

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार