aadatan wo humse rooth jate hein
aadatan hum unhe manaate hein
phir bhi shikaayat rahti hai unhen
k hum hi hein jo unhen satate hein ...

kabhi baaten karne ko nahin hoti
to bhi baaten khatam nahin hoti
kabhi bahut kuch hota hai dil mei
to din bhar unhen sunaate hein...

kabhi judaai ka mausam aata hai
toh wat katna mushkil ho jata hai
aalam-e-judaai me tab har ghadi
dher se aansu hum bahaate hein ...

Popular posts from this blog