bahut choti choti si wo baaten
aur kuch bhooli si mulaakaten
na jane kahan se aa jaati hein
aur yaado ko aksar satati hein

kabhi koi geet sunaai deta hai
toh tera chehra dikhai deta hai
kabhi kitaabon me likhi kahani
hamari kahaniyan ban jati hein

saayon mein dhoop ki zaroorat
ya pyaas mein paani ki keemat
mujhe teri tishnagi mei yu aksar
kuch waisi aatishen jalaati hein...

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार