kinaare par rahkar saagar ki gahraai naapte ho,
utro to pani mein dekhen tum me dum kitna hai,

kishtiyan kya chalengi, laharen kya duboyengi,
paani gehra utna hi hai tum mei hausla jitna hai...

bekaar hi darte ho tum zindgi ke thapedon se
jee lo jee bhar ke, aakhir zindgi ka sirf itna hai?

jo isko tair jaata hai, bus wo hi paar paata hai
sab khel hai zindgi ka aur zindgi khud fitnaa hai

jeet lo gar jeet sakte ho waqt ke har lamhe ko
anjaam e zeest toh aakhirish isko mitna hai...

Popular posts from this blog