woh woh na rahen
hum hum na rahen
aalam e wasl mein
ye janam na rahen

na sabr n qaraar ho
mausam e pyaar ho
nazdeekiyan ho itni
duri ka wahm n rahe

sang tera hi saath ho
aankhon me baat ho
machalte jazbaat ho
aur koi gam na rahe

simati saanse chalen
raaten kuch yu dhale
aagosh me chupa lo k
furqat-e-sanam na rahe

zulfen bikhri bikhri ho
hansi me bhi be-fiqri ho
ungliyon se yu suljhao
koi Pech-o-kham n rahe...

furqat-e-sanam - separation from beloved
Pech-o-kham - Curls In The Hair

Popular posts from this blog