waqt ko badalne mein bahut waqt lag gaya
jazbaat woh lekin mujhme aaj bhi zinda hai
jo teri zindgi se nikal gaya tha arsa pahle,
wo aaj bhi teri hi galiyon ka ek bashinda hai
jee liya apni zindgi ko, jane kaise ab talak
meri zeest magar jeene pe sharminda hai
dil mahsoos karta guzre lamhon ki taaseer
jinse meri zindgi ki rau ab bhi taabinda hai ...
bashinda - resident
zeest - life
taaseer - warmth
rau - light
taabinda - illuminate