fursaten (my old collection)...

jab haath thaama tha uska to yeh socha bhi na tha
jisko khuda jaante hein wo mukkammal insaan bhi nahi
--------------------
zaroorat badalti jaati hai hasbe haalaat,
kaun kahta hai magar haalaat nahi badalte
-------------------
wo raat jisne mujhe odh rakha hai
syaah kaali, kinaare se kinaare tak
main lekin khuda ki shukrguzaar hu
usne mujhe sahaara diya sahaare tak

haalat ne jakad rakha hai meri hasti ko
na khud ko rone diya na rukne diya
sar lahuluhaan ho gaya sang se takraakar
sar magar gum ke aage na jhukne diya

un khaufnaak aur akeli galiyon mein
jahaan pal pal dil khauf se dahalta hai
mera wajood beshaq kaanp jata hai
magar mera junoon beparwaah chalta hai

koi farq nahi mujhe ab sazaaon se
meri hasti badi hai mere chand gunaahon se
ke main khud apni zindgi ka noor hoon
mujhe faqr hai mujhpar main khud ka guroor hoon
-----------------

chal ab firaaq chhod de, har kaul ki miyaad poori nahin hoti
kahin talaash mukkammal nahin hoti, kahin muraad poori nahin hoti

---------------------

araab ke peeche sambhal k chaliega janaab
ke saraab sirf sahra mein nazar aate hei
nho sake to chand saaye saath le jaaiyega
kyunke ret par aksar paavn jal jaate hein
-------------------------

insaano mein koi khuda nahin hota,chunki,
khuda aabid se kabhi juda nahin hota..

aabid - devotee

a human being can never be THE GOD, because god never leave their devotees alone
-----------------

sab kuch chor diya nayi zindgi ki talaash mein
bahut der baar dil ko sukun naseeb hua hai
kisi ki kismat se judna chaaha tha
koi aur magar dil ke kareeb hua hai
-----------------------

हर रिश्ता यहाँ एक मियाद लेकर आता है,
वक़्त के साथ हर साथ बदल जाता है,
शिकायत करो भी तो कौन सुनता है दिल की फ़रियाद
हर कोई बस उतना निभाता है, जितना निभा पता है ...
ज़माने में हरेक अपना गम खुद ही उठाता है
सिर्फ अपना हाथ ही अपने आंसू पोंछ पाताहै
हर युग में मसीहा मर जाता है आवाम की खातिर
कौन भला उसका सलीब अपने काँधे लगाता है?
--------------------

zindgi safar nahi, rahguzar nahi manzil bhi nahi
zindgi sirf kuch kar guzarne kaam naam hai
apne liye to har koi jee leta hai yahan par
kisi aur ke liya jeena shaayad sabse badaa kaam hai
--------------------

umr bad jaati hai, umangen kam nahi hoti
jeene ka yahi saleeka rahe to kya baat hai
maut bhi aane se pahle kai baar sochegi
kaise le jaaun ise, jab zindgi iske saath hai
---------------------

khaali khat se unsne dheron paigaam bhej diyeek rukka,
ek lafz bhi na likha, garche qaraar aa gaya...

rukka - message
garche - bu
tqaraar - relief

Popular posts from this blog