kuch raaten raat ko sone ke liye nahi hoti
un raaton me aankhon ko jagaya jata hai

us waqt koi bhi khwaab nahi dekhe jaate
kuch dhundle khayalon ko sajaya jata hai

zahan mei tasveereen kai rahti hein lekin
kisi ek ko hi tassavvur me bulaya jaata hai

khaawishen rokne se ruth jati hei din me
unhen raaton ko dobara manaya jata hai

tanhai ke us aalam mein tanhai bhaati hai
aur sharma k khud se hi batiyaya jata hai....

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार