kabhi rasta n mila, kabhi humsafar n mila
kabhi manzil n mili, kabhi rahguzar n mila

zindgi ke safar mei mukaam toh kai aaye
kabhi chaaya n mili toh kabhi ghar n mila

humne tanhaai ki shikaayat karni chhod di
tanhaai mei bhi tanhaai ka manzar n mila

baazi zindgi ki khel toh li lekin jeet n sake
jo jitaye khud haar ke wo sikandar n mila

pursukooniyon ki khwaaish rakhi hai lekin
aman naseeb ho jahan wo shahar n mila

humne yun hi kaaynaat ko ilzaam de diya
is zameen ko bhi sada k liye badar n mila

log deewangi ka charcha kyun karte hein
hum kaun sa mar gaye woh agar n mila

pusukooniyan - peace
aman - peace
kaaynaat - universe
badar - moon

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार