ab wo mere paimaanon ka hisaab rakhne laga hai jo kabhi mujhe apni aankhon se jaam pilaata tha
Posts
Showing posts from 2013
- Get link
- X
- Other Apps
waqt ko badalne mein bahut waqt lag gaya jazbaat woh lekin mujhme aaj bhi zinda hai jo teri zindgi se nikal gaya tha arsa pahle, wo aaj bhi teri hi galiyon ka ek bashinda hai jee liya apni zindgi ko, jane kaise ab talak meri zeest magar jeene pe sharminda hai dil mahsoos karta guzre lamhon ki taaseer jinse meri zindgi ki rau ab bhi taabinda hai ... bashinda - resident zeest - life taaseer - warmth rau - light taabinda - illuminate
- Get link
- X
- Other Apps
kabhi rasta n mila, kabhi humsafar n mila kabhi manzil n mili, kabhi rahguzar n mila zindgi ke safar mei mukaam toh kai aaye kabhi chaaya n mili toh kabhi ghar n mila humne tanhaai ki shikaayat karni chhod di tanhaai mei bhi tanhaai ka manzar n mila baazi zindgi ki khel toh li lekin jeet n sake jo jitaye khud haar ke wo sikandar n mila pursukooniyon ki khwaaish rakhi hai lekin aman naseeb ho jahan wo shahar n mila humne yun hi kaaynaat ko ilzaam de diya is zameen ko bhi sada k liye badar n mila log deewangi ka charcha kyun karte hein hum kaun sa mar gaye woh agar n mila pusukooniyan - peace aman - peace kaaynaat - universe badar - moon
- Get link
- X
- Other Apps
bahut choti choti si wo baaten aur kuch bhooli si mulaakaten na jane kahan se aa jaati hein aur yaado ko aksar satati hein kabhi koi geet sunaai deta hai toh tera chehra dikhai deta hai kabhi kitaabon me likhi kahani hamari kahaniyan ban jati hein saayon mein dhoop ki zaroorat ya pyaas mein paani ki keemat mujhe teri tishnagi mei yu aksar kuch waisi aatishen jalaati hein...
- Get link
- X
- Other Apps
tum aaftaab nahin to bhi main zameen hoon tum khuda ho aur main tumhara deen hoon tum hamesha mere sach the sach hi rahoge, tum thikana ho aur main panaah guzeen hoon... in response to Varun Chawla's question: beta few words are little difficult so i have translated them. Aaftaab: sun, deen: faith, panaah guzeen: refugee
- Get link
- X
- Other Apps
kinaare par rahkar saagar ki gahraai naapte ho, utro to pani mein dekhen tum me dum kitna hai, kishtiyan kya chalengi, laharen kya duboyengi, paani gehra utna hi hai tum mei hausla jitna hai... bekaar hi darte ho tum zindgi ke thapedon se jee lo jee bhar ke, aakhir zindgi ka sirf itna hai? jo isko tair jaata hai, bus wo hi paar paata hai sab khel hai zindgi ka aur zindgi khud fitnaa hai jeet lo gar jeet sakte ho waqt ke har lamhe ko anjaam e zeest toh aakhirish isko mitna hai...
- Get link
- X
- Other Apps
woh har baat pe unka rooth jaana, woh har baat pe hamara manaana zindgi yun beetani hai to yun hi sahi, zindgi yu hi bita denge teri marzi pe.. jab bhi fursat ke lamhon mein kahin qurbaton ke lamhen yaad aa jaayen tab gaur karna meri shikaayaton pe aur mere gam-e-hijaraan ki arzi pe... fursat - free, gurbaton ke lamhen - moments of closeness, gam-e-hijaraan - sorrow of separation, arzi - application
- Get link
- X
- Other Apps
हमसाया नहीं, हमदर्द नहीं हमकदम भी नहीं बन सका बस एक ही रिश्ता है अब उससे हमज़मानी का रहबरी की उम्मीद थी तो राहें तकते थे हर रोज़ जिसकी बुत परस्ती सिखाने वाला वो कायल था बुत शिकानी का दिल-ए-मासूम को यहाँ के रस्मों -रिवाजों से आशनाई न थी, और उस आशना को शौक था ज़माने भर से बदगुमानी का हमने जिन मरासिमओं पर जिंदगी गुज़ार दी अपनी अब उनसे क्या शिकवा करें तोहफा ए नातवानी का हमसाया - neighbour, हमदर्द - sympathizer, हमकदम - one who walks with u हमज़मानी - staying in the same era, रहबरी - guidance, बुत परस्ती - worshipper of statue, कायल - follower, बुत शिकानी - one who breaks stutues आशनाई - friendship, आशना - friend, बदगुमानी - suspicious मरासिमओं - agreements, तोहफा ए नातवानी - gift of sarrows
- Get link
- X
- Other Apps
koi aisi tarqeeb bataao k mujhe pata bhi na ho aur tum mere kareeb aa jao... koi aisi raasta sujhaao k mujhe gumaan bhi n ho aur tum meri raah se guzar jao... koi aisa tareeka samjhao k mujhe samajh bhi na ho aur tum mere zahan me bus jao.. koi aisa hunar dikhaao k mujhe ilm bhi na ho aur tum meri zindgi me samaa jao... koi aisa zariya banaao k mujhe zaahir bhi na ho aur tum mera saaya ban jao..
- Get link
- X
- Other Apps
कौन कहता है ज़िंदगी की शुरुआत सुबह से होती है , कुछ लोग तो शाम से भी सुबह का काम ले लेते हैं मायूसी तो उनका गहना है जो डर के हालातों से, सुबह होते ही घबरा के रात का दामन थाम लेते हैं ... तुम्हें तो खुद पर फक्र होना चाहिए ए दोस्त मेरे के तुमने अपने वक़्त से खुद ही जंग करने की ठानी है वरना यहाँ तो लोग मजबूर होकर वक़्त के हाथों से वक़्त को ही जिंदगी की हर हार का इलज़ाम दे देते हैं ... सब्र को मत छोड़, सब्र जीना का सलीका सिखाता है जब सब दोस्त छोड़ जाते हैं तो सब्र ही काम आता है मगर फिर गुमशुदा होकर अपने ही गमों के सायों में अक्सर हम खुद ही अपने सब्र का इम्तेहान लेते हैं ... तुम शर्तिया जीत लोगे अपनी जिंदगी की हर बाज़ी इस बात से तुम वाबस्ता हो, ज़माना भी वाकिफ है हम भी कायल हैं तेरे बुलंद हौसलों के, ए यार मेरे और तेरे इस हिम्मत ए जज़्बात को सलाम देते हैं ... for all those who have not lost hope and keep on trying to reach their destination...
- Get link
- X
- Other Apps
ये दिल खाली खाली सा लग रहा है कोई चुप चाप यहाँ से गुज़र रहा है मुड़ मुड़ के देखा कहाँ कहाँ तक वो आशना कुछ पराया लग रहा है हमने जिसके दामन से लिपटना चाहा वो अजनबी बन दामन झटक रहा है मुद्दत बाद मिलकर भी क्या मिला अब तक क्यूँ ये दिल भटक रहा है हमने दोस्तों के चेहरों में ढूँढा खुद को हर दोस्ताना चेहरा अपनापन तज रहा है शिकायत भी करें तो किससे करें हर शख्स अपनी सलीब पे सज रहा है खून का कतरा कतरा रिसता रहता है और मलहम को ज़ख्म तरस रहा है हाल ए दिल ने शायरी सिखा दी यारों अब हर लफ्ज़ दर्द बन कर बरस रहा है ...
- Get link
- X
- Other Apps
fursaten (my old collection)... jab haath thaama tha uska to yeh socha bhi na tha jisko khuda jaante hein wo mukkammal insaan bhi nahi -------------------- zaroorat badalti jaati hai hasbe haalaat, kaun kahta hai magar haalaat nahi badalte ------------------- wo raat jisne mujhe odh rakha hai syaah kaali, kinaare se kinaare tak main lekin khuda ki shukrguzaar hu usne mujhe sahaara diya sahaare tak haalat ne jakad rakha hai meri hasti ko na khud ko rone diya na rukne diya sar lahuluhaan ho gaya sang se takraakar sar magar gum ke aage na jhukne diya un khaufnaak aur akeli galiyon mein jahaan pal pal dil khauf se dahalta hai mera wajood beshaq kaanp jata hai magar mera junoon beparwaah chalta hai koi farq nahi mujhe ab sazaaon se meri hasti badi hai mere chand gunaahon se ke main khud apni zindgi ka noor hoon mujhe faqr hai mujhpar main khud ka guroor hoon ----------------- chal ab firaaq chhod de, har kaul ki miyaad poori nahin hoti kahin talaash mukkammal
- Get link
- X
- Other Apps
woh woh na rahen hum hum na rahen aalam e wasl mein ye janam na rahen na sabr n qaraar ho mausam e pyaar ho nazdeekiyan ho itni duri ka wahm n rahe sang tera hi saath ho aankhon me baat ho machalte jazbaat ho aur koi gam na rahe simati saanse chalen raaten kuch yu dhale aagosh me chupa lo k furqat-e-sanam na rahe zulfen bikhri bikhri ho hansi me bhi be-fiqri ho ungliyon se yu suljhao koi Pech-o-kham n rahe... furqat-e-sanam - separation from beloved Pech-o-kham - Curls In The Hair
- Get link
- X
- Other Apps
kuch raaten raat ko sone ke liye nahi hoti un raaton me aankhon ko jagaya jata hai us waqt koi bhi khwaab nahi dekhe jaate kuch dhundle khayalon ko sajaya jata hai zahan mei tasveereen kai rahti hein lekin kisi ek ko hi tassavvur me bulaya jaata hai khaawishen rokne se ruth jati hei din me unhen raaton ko dobara manaya jata hai tanhai ke us aalam mein tanhai bhaati hai aur sharma k khud se hi batiyaya jata hai....
- Get link
- X
- Other Apps
koi be-hichak bataata hai, koi be-lafz jataata hai apne afsaane sunaane ke zariye beshumaar hein hum be-bas ho bhi gaye toh parwaah kyun karen hamaari hifaazat ke liye uthte haath hazaar hein.... कोई बेहिचक बताता है, कोई बेलफ्ज़ जताता है अपने अफ़साने सुनाने के ज़रिये बेशुमार हैं .. हम बेबस हो भी गए तो परवाह क्यूँ करें यारों के हमारी हिफाज़त के लिए उठते हाथ हज़ार हैं ...
- Get link
- X
- Other Apps
wo khamoshi mei bhi uski baaten, kabhi chup din, kabhi chup raaten, kahne ko lafz nahi magar uski wo taqalluf bhari wada-e-mulaaqaaten .... sard mausam mei dil ki sarsarahat anch se lipti hui khamosh angeethi lihaafon mein chupe sapne chote se kabhi n khatam hone wali wo baaten ... dheeme dheeme se dhadakta ye dil apni hi dhadkanon se poochta hai kya poori hoti hein khwaaishen kabhi gar haan to karen kuch Munaajaaten.. taqalluf - formality Munaajaaaten - prayers
- Get link
- X
- Other Apps
aadatan wo humse rooth jate hein aadatan hum unhe manaate hein phir bhi shikaayat rahti hai unhen k hum hi hein jo unhen satate hein ... kabhi baaten karne ko nahin hoti to bhi baaten khatam nahin hoti kabhi bahut kuch hota hai dil mei to din bhar unhen sunaate hein... kabhi judaai ka mausam aata hai toh wat katna mushkil ho jata hai aalam-e-judaai me tab har ghadi dher se aansu hum bahaate hein ...
- Get link
- X
- Other Apps
Zindgi ka pyala tu ek musht hi satak jaana Jo aadha peeya to aadha khaali rah jaayega Khushi utni hi hogi jitna tere jism me gaya Khaali hissa tere gum ki taraf bah jaayega Saans bhi mat rokna, ek saans mein pee lena k Kai martbaa saans atak jaati hai peete hue Jo atke saans to koi fiqr nahin karna, kyuki Ye jism pathhar hai, pathhar sab sah jayega… Yahan wahan har jagah sirf khushi bikhri hai Chun chun ke har lamha sajaa le dil me kahin
hamaare paigaam ka jawaab nahi aata
- Get link
- X
- Other Apps
Bahut bezaar ho jaate hein jab hamaare paigaam ka jawaab nahi aata Peshe se muhaasibi karne waale ko meri besabri ka hisaab nahi aata Khat milne ke baad bhi aadat-e- qataa-e-nazar se pareshaan hein Kya us be-khabar ko mere dard ka ahsaas-e-azaab nahi aata Khamkhah hi intezaar karne ka marz mol le liye hai humne Ek woh hai jise meri naadaaniyon pe kabhi etaab nahi aata muddat se band rakhen hein saare darwaaze aur khidkiyan phir bhi bigde hue ahsaason ko chain-e- Iztir aab nahi aata din raat behad uksaate hein hum uske sabr aur qaraar ko jane kis mitti ka hai k uske jazbaaton pe inqlaab nahi aata Muhaasibi- accountancy aadat-e- qataa-e-nazar– habit of ignoring ahsaas-e-azaab – understanding agony etaab – gussa, anger chain-e- Iztir aab – relief from anxiety
tera daaman dhoodhta rahta hai
- Get link
- X
- Other Apps
Raat gaye aksar mera pahlu tera daaman dhoodhta rahta hai Ke tu is karwat bhi jagaata hai, aur us karwat bhi jagaata hai Aankhen band karke bhi kuch pareshaan se rahte hein aajkal Ke Tera ek khwaab meri uneendii aankhon mein samaata hai Dil ki dhadkane tez hoti hein bewajah jaane kyun sote sote, Mere zahan mein tera khayaal askar apna ghar banaata hai Aksar machal jaati hein baahen meri tere aagosh me aane ko Ke teri un baazuon se mera kai janamon purana ik naata hai Tum aksar mujhe bewajaah hi nikaal dete ho apni yaadon se Tum hi kaho bhala koi apne aap se khud ko yun chuaraata hai …
razdaar
- Get link
- X
- Other Apps
wo apne dil se bhi apna haal-e-dil bayaan nahi karta aur Hum khamkhah khud ko razdaar samajhte rahe jis aas pe jeete the kabhi, wo aas dil me hi mar gayi jis pyaas se marte the, us pyaas se khud hi ladte rahe bahut lamba faasla aa gaya darmayaan hum dono ke kaun uthayega pahla kadam, is baat pe hi jagadte rahe daayra humne bana dala tha, daayaron ke beech rah ke un daayaron ko todne ka jhootha ek dum bharte rahe na fursaten wahan thin, na faraagaten humare paas fir bhi dono khud ki masrufiyaton se mukarte rahe....
khudaai kis pe raham khaati hai???
- Get link
- X
- Other Apps
Jab bhi bedakhal karta hai wo apni ibaadat se Meri junnon-e-parastish aur bhi bad jaati hai Hum zabeen jhukate hein thokar khate hein Jane uski khudaai kis par rahmat farmaati hai Bada hi la-garz hai uski munsifi meri jaanib Har baat par sirf mujhe mujrim banaati hai Haan Uspar meharbaan hoti hai uski nazar jo nazar har nazar se nazar apni milaati hai is kadar uski tangdili mujhe hairaan karti hai ke mujhe meri haisiyat par sharm si aati hai socha tha khuda kabhi kisi me farq nahi karta magar yahan ibaadat bhi sikkon me toli jati hai..
- Get link
- X
- Other Apps
Dastak koi deta hai raat raat bhar khayaal mein Ulajh ulajh jaate hein uske khamosh sawaalon mein Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua aaj khada hai wh maasoom barbaadi ke kagaaron mein Kuch samajh ka fer tha, kuch waqt ka dhokha, warna Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein Muddat baad Harsun aaj bhi ek hi soorat dikhti hai Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse Aur baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaaron mein Humne wo dard mol le liye hai bin daam ke bin baat ke Milti nahin jiski dawaa duniya ke kisi bhi bazaaron mein Meri gustakhiyon ki sazaa aakhir maut kyun nahi Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein Hum nijaat paate nahin, woh paas aate nahin Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein Hasraten ginte the jin ungliyon par gin gin kar Toote hein armaan uske saikdon hazaaron mein Uske bina andhera hi milta hai door tak faila
- Get link
- X
- Other Apps
Maine kab tumse tumhara waqt sara maanga tha Bus sabhalne ko tumse thoda sahara maanga tha Tum saahil pe khade the aur hum bhanwar mein Tumse tumhari zameen ka ik kinaara maanga tha Tere pyaar mein teri parasti ko is qadar bebas hue Ke tere kadamo mein ek kona dobara maanga tha Apne raqeeb se guzaarish karen bhi toh kaise kare Usse uska nahin, haq humne hamaara maanga tha Hasraten dil ki kya thi kya rah gayi e mere khuda Khudai nahi Teri rahmaton ka ishaara maanga tha
- Get link
- X
- Other Apps
Tumhara woh mere ghar tak aana kaise bhoolen Tumhara wo darwaaza khatkhatana kaise bhoolen Tumhari woh aawaaz aaj bhi bhulaayi nahin jaati Tumhara bechainiyon ko chupana kaise bhoolen Tum yaad karte the ye bhoolna mumkin hi nahin Tumhara who meri yaadon me aana kaise bhoolen Tumhari baaten aur shikaayaten ab bhi yaad hein Tumhara wo baat baat par rooth jaana kaise bhoolen Tumhara raahon mein palken bichana to yaad nahin Tumhari raahon me aankhen bichana kaise bhoolen Tum nahin ho mere naseeb mein, iska ilm hai hume Tumhara phir bhi mere nazdeek aana kaise bhoolen
- Get link
- X
- Other Apps
kinaare par rahkar saagar ki gahraai naapte ho, utro to pani mein dekhen tum me dum kitna hai, kishtiyan kya chalengi, laharen kya duboyengi, aao ke yahan paani sirf tumhare ghutne jitna hai... bekaar hi darte ho tum zindgi ke thapedon se jee lo jee bhar ke, aakhir zindgi ka sirf itna hai? jo isko tair jaata hai, bus wo hi paar paata hai sab khel hai zindgi ka aur zindgi khud fitnaa hai jeet lo gar jeet sakte ho waqt ke har lamhe ko anjaam e zeest toh aakhirish isko mitna hai...
- Get link
- X
- Other Apps
Sab kuch hai lekin phir bhi ek kami si lagti hai Saans hai magar zindgi kuch thami si lagti hai Kaun rah gaya akela bichad ke mere saaye se Meri parchaai mein ik tasveer jami si lagti hai Baadlon se nikal k ek chota tukda aasmaa ka Gira jahaan wo ek anjaan zameen si lagti hai Honth beshaq zaahir kar bhi den hansi teri Aankhon mein magar ek ghami si lagti hai Muddat hui abr aabshaar n hue ghar pe mere Aaj uske aane pe hawaa me ek nami si lagti hai
- Get link
- X
- Other Apps
Meri Choti si gudia ab badi ho chali hai Aage ki duniya bus tere piya ki gali hai Tu dil ka tukda tu mere ghar ki bahaar Mahkta mera aagna tu wo mithi kali hai Wo chote chote se paanvon se matak matak ke chalna Wo thirakna har geet pe aur baat baat pe machalna Wo gusse mein muh fulaana aur woh aankhen dikhana Har baat se teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chai hai Wo padna, padaana aur bahaane banaana Wo doston ke saath ghanton tak batiyaana Wo khat wo letter sabse chupaana Har baat se sach teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chali hai Kuch baaten ab meri bhi tu sunti jaa bitiya….Ye yaad rakhna ke yeh ghar ab tera to hai magar tujhse paraya hai tu Jahaan jaa rahi hai wo tere sapno ka saya hai Wahin maa milegi tujhe wahin pita bhi honge Wahi humne tere aane waale kal ka sansaar banaya hai Wahan kaante bhi honge aur phool bhi khilenge Wahin sukh bhi hoga aur dukh bhi milenge Wahin tere daaman mein chaa
- Get link
- X
- Other Apps
for my brother-in-law who passed away on 25.5.2013 Nazar dhoodhti rah jaati hai us shaks ko Jo door bahot door jab chalaa jaata hai us jahaan mein jaane koi kaise rahta hoga jidhar jaane se jeete ji har koi ghabraata hai kya wahan bhi aasmaan neela hota hoga kya wahan bhi mausam badalte honge kya wahan bhi sukh dukh ka kaarvaan yu hi zindgi ko bitaane ka zariya banaya jaata hai? Kya sachmuch mein koi khuda hota hoga Kya farishte zahad ka taqaaza karte honge Yan dozakh aur jannat ke darwaazon par Insaan khud Karamon ka taala lagaata hai? Kya hooren wahan insaani dil bahalaati hongi Kya pariyan apne seene se lagaati hongi Kya sar-e-arsh ki hasrat rakhne waalon ko Bin sharton ke wahaan Qaboola jaata hai? Jo hasraten rah gayin thi jahaan mein baaki Kya us jahaan mein mukkammil hoti hongi Kya insaan ki taqdeer aur tadbeer ka hisaab Agle janam ki shakl mein likhaa jaata hai??? Farishte: angels, Zahad: good deed, taqazaa: settlement, doz
- Get link
- X
- Other Apps
mujhe har baat par wo ek chawanni deta raha....... Pyaar ke izhaar karne par Uska intezaar karne par Haq na maangne par aur Haq-e-ikhtyaar karne par Magar Bazaar mein jo chalti nahi Keemat jiski chadti nahi Muththi bhar gayi meri Kismet lekin badalti nahi J Aur Itni chawanniyan ikathi ho gayi Ke ab lautane ka waqt hai Un khote sikkon ko aaj Uspar hi chalaane ka waqt hai J Isliye Ab har baat par hum use uski ek chawanni lautenge jitna usne hume sataya utna use hum sataayenge J Lekin na uska sikka chalaa bazaar me na mera sikka hi chal paayega magar ek sukun milega dil ko saara gum durust ho jaayega J
- Get link
- X
- Other Apps
wo jo kuch khwaab chote chote se Tumhari aankhon mein basaaye the Kal raat wo tumhari shikaayat lekar Dabe paanv khwaabon me aaye the.. Unhone mujhe bataya ke tum aajkal raaton ko kuch Theek se sote nahin garam garam ashqon ko pee lete ho par bojhil aankhon ko bhigote nahin aksar raat ko mere khayaal tumhen raat raat bhar khoob sataate hein karwat karwat der tak tumhara dil woh apni baaton se bhalaate hein kai baar tum bewajah akele mein apne aap me yun hi muskurate ho apne zahan me mere tassavvur ko apne haatho se baar baar sajaate ho meri khushboo tumhari saans ko meri saanson se mahkaati hai tumhare dil ki dhadkan rah rah ke mere dil ko aawaaz dekar bulati hai sach kaho ye sab kya tumhare saath hua hai kya maine tumhari zindgi ko is kadar chua hai????
- Get link
- X
- Other Apps
Mujhe mujhse mile hue ek zamaana beet gaya Mera aaina bhi mujhe ab teri hi soorat dikhata hai Kaisi ajeeb si kahaani ban gayi hai teri badakashi k Jaam koi peeta hai, kadam mera dagmagaata hai Dur rahne ka iraada karte hein har shaam lekin Subah uska ek paigaam phir us tak le aata hai Hausla nahin hai magar dil jhooth mooth mein Usko tang karta hai aur khud ko bhi satata hai Khat likhne ki ek aadat si pad gayi hai is umr me Majmoon har harf ka bus haal-e-dil batata hai Aji kuch to hoga ilaaj is la-ilaaj marz ka miyan, Ke dekho bin ilaaj ke dil beemaar hua jaata hai
- Get link
- X
- Other Apps
Meri kalam bhi ab mujhe naraaz rahti hai Meri nazm bhi ab mujhse naraaz rahti hai Jab se maine likhna chhod diya hai yaaron Saari bazm bhi mujhse naraaz rahti hai... Mere ahsaas hi mere ashraar bante hein Wo khayaal hi mere panne pe utarte hein Jab se mere jazbaat guzar gaye nazaron se Meri chashm bhi mujhse naraaz rahti hai Riwaazon se hat kar ek rishta banaaya tha Toofaanon tak ne mera saath nibhaya tha Jab se toot gaye mera bharam sach maano Riti aur rasam bhi mujhse naraaz rahti hai Ummeedon se pare waadon se bahut pare Har nayi puraani yaadon se bhi bahut pare Jis shaks ke naam se har saughandh uthaai Tab se kasam bhi mujhse naraaz rahti hai...
- Get link
- X
- Other Apps
Yun lagaa mere dard ki muddat khatam ho gayi Magar khuda ki nazar mein abhi itnehaa nahi hui Humne toh odh liya tha khushi ko apne ird-gird Bola woh abhi tujhe tere kufr ki sazaa nahi hui Humne hans kar kaha abhi aur kitnna sahna hai Usne kaha jab tak tere gumon ki atathaa nahi hui Humne chupchaap sir ko jhukaya aur kah diya ‘Badhaali mein rah lenge jab tak teri razaa nahi hui’ Daleel dete bhi to haasil kya ho jaata yaaron Sab Manzur-e-khuda hai jab qazaa nahi hui
- Get link
- X
- Other Apps
Wo meharbaan aisi meharbaani karta raha Apne pyaar ka chupchaap dum bharta raha Hum jise uska ek mazaak samajhte rahe Din raat us aag mein sulagta aur jalta raha Aankhon se shikaayat aankhon se mohabaat Aankhon se hi pyaar uska pighalta raha Labon par feeki si muskuraahat odh kar Raah-e-ulfat par wo akela hi chalta raha Na samajh sake uski udaas khaamoshi ko Bezubaani mein uska haal-e-dil dhalta raha Chupata raha zamaane ki nigaahon se magar Dil uska meri jaanib ta-umr machalta raha
- Get link
- X
- Other Apps
Tu agar haath thaam le mera to Har toofaan se takra sakta hoon Teri zindgi roshan karne ki liye Zamaane ko aag lagaa sakta hoon Gar tera Sahara mil jaaye to kisi aur ke sahare ki justjoo hi nahi Tujhe paane ke liye main yeh saari duniya thukra sakta hoon Teri aankhon se chalakte aansu mujhe manzoor nahi zaraa bhi In aankhon ki khaatir main saraa aasmaan sukha sakta hoon Mujhe teri hansi ki chaahat hai, aur meri chaahat mera gurur hai Aur teri hansi ke liye mein har honth ki hansi chura sakta hoon