Posts

Showing posts from 2011
kabhi paththar dekha hai? kabhi paththar se chot khaai hai gar nahin dekha to dekh lo aaina tumne paththar si seerat paayi hai. Q itne bigde mijaaz hein tumhare itna tum kyun itraate ho kis khataa ka sila de rahe ho hume kya ab dil ki har dharkan bhi pathraai hai? bahut koshishen kar li jeene ki tum bin bahut baar saans magar aati nahin bus marna hi rah gaya hai tera naam lekar kyun maine ek paththar se preet lagaai hai? gar shikaayat hai tumhen mere rahbar se mujhe bhi tumse kai shikwe hein raah badalne ke ye maana humaare raaste kabhi ek na the par socho to ek manzil kahin apni bhi aayi hai. chalo fir se koshish karen tumse anjaan ban jaane ki yaari to nibh na saki, ab ajnabeeyat nibhaane ki dastoor-e- khaak daalne ki rasam to poori kar do jab dosti aur dushmani dono ki riwaayat nibhaayi hai baar baar daaman failaate hein tere muqabil baar baar tum daamn
alag hein magar tere saayon mein hum hi baste hein, teri chaavn mein rah kar beshaq dhoop ko taraste hein tune sudh n li, n sahi, aur ab koi shikaayat bhi nahin, magar milenge kabhi k raste humare aaj bhi wo hein jo tere raste hein...
har zindgi mein ek kahani chupi hoti hai harek kahani mein koi zindgi bitaata hai jo beej aaj banaa hai wo kal ped banega jo aaj ped ban gaya kal beej banaata hai rawaani thi, rawaani hai, rawaani rahegi isme ek lamha aata hai aur ek jaata hai n isko kisi ne paar kiya na paar hai koi iska ajab paheli hai zindgi ajab hi gaatha hai
kismat se lad sakta hai insaan gar himmat dene waala koi apna saath ho andhere khud roshan ho jaate hein gar rahbar ke haathon mein haath ho
waqt aur mausam badlte rahte hein waqt magar kabhi laut kar nahi aata bigadte waqt mein hausla rakho tab tak jab tak phir mausam badal nahi jaata
dilon ki dooriyan, dooriyan nahin majbooriyan hein jitne pal door ho, utne pal majbbor ho, jitne pal nazdik ho utne palon mein makhmooriyan hein makhmoor - nasha
rishton ke dhaage kachche kachche rishton ka rang bhi badal jaata hai jab tak nibha sako nibha lo inko, phir yaadon mein har lamha sambhal jaata hai...
meri bahaaren mere daaman mein hi chupi baithi thi hum hi the jo sahra mein kho gaye the talaash karte karte...
dil ka ek ek katra kharch diya, chand pal massarrat k khareed n sake, kaagaaz ke rupyon ki taaqat kuch yun thi k bin mol mere jazbaat bik gaye... hum to bahut door talak nikal aaye the us din kisiki mehfil se aawaaz dene ke lagta hai ab haalaat nikal gaye
बहुत देता है, दामन भरता नहीं फिर भी, न भूख मिटती है, न प्यास जाती है, तेरे दर पर रहमतों की बारिश ऐसी है के हर टूटे दिल को इस दर उसकी आस लाती है... जिसने कभी सर झुकाया नहीं, उसको भी यकीं है के माथे की लकीरें तेरी कलम से लिखीं हैं जिसका सर कभी उठा नहीं तेरी चौखट से, सुना है तेरी खुदाई खुद उसके पास जाती है ... मेरा क्या, मेरी ज़बीं किसी के दर पर नवीं नहीं मेरी जुबां ने तेरा नाम शायद कभी लिया नहीं आज जब हाथ उठे दुआ को बेकसी में, तेरी नूर-ए-नज़र की कशिश मुझे तेरे पास लाती है... वो आँख का चुल्लू भर पानी यूँ दरिया नजीब बन गया तेरी नज़र-ए-इनायत पड़ी और मेरा नसीब बन गया नाकाफी थी मेरी झोली मौला, ऐसी बख्शीश दराज़ की वल्लाह हम काफिरों पर भी तेरी नज़र ख़ास जाती है ...

wo pagdandi ab jungle hai

ek pagdandi si ban gayi thi mere ghar se uske ghar tak, jab jungle se guzarte guzarte wahan uske dayaar tak jaate the... ped har roz beej giraate the, jo an-panpe hi mere paanv tale aate the maasoom se kachche kachche hi anjaane mein kuchle jaate the... hari hari ghaas ki geeli os se meri jootiyon ka talaa geela ho jata tha magar milne ka junoon aisa ke hafte dar hafte mere joote ke talve badle jaate the... fir kaaynaat ne ladna chodd diya aur wahan ab kuch na ugta tha mere paanv jis raaste se hokar uske ghar mujhe roz pahunchaate the... fir waqt ke saath wo bhi beet gaya aur hum dheere dheere wo raste bisar gaye jungle ne samet liya pagdandi ko jahan se kabhi hum bebaak aate jaate the... ek ek beej gira aur ped ban gaya kachcha raasta ghaas ke galeechon se san gaya jungle ne mujhse wo pagdandi cheen li jis parkabhi sirf mere kadam samaate the.. ek din yakaayak udhar se aawaaz aayi lagaa ke wo khaali ghar fir bas raha tha
hai re mere sabr ka sabr bhi be-sabr hua jaata hai, koi kambakht toh hai jo dil se nikalta hi nahin ab naam le uska to bewajah ungliyan uthengi aur chup rahen toh dil saala sambhalta hi nahin
Hasraton ke karwaan kabhi mukkammal nahi hote, ek na ek kashish rah jaati hai khalish ban kar.. ----------------------------------- sab kuch mil jaata agar toh kaun usko poochta, badaa hi shaatir hai woh oopar waala bhi...
koshishen tab bhi ki thin, koshishen ab bhi karte hein, wo shaks magar ab bhi bhoolta bhi nahi aur meri zindgi se guzarta bhi nahin
waqt ke saath chale to waqt aage nikal jaata hai waqt se aage chale to waqt phir haath nahin aata hai waqt ko peeche chhoda to waqt bhulaata jaata hai sirf waqt hai jo insaan ko uski aukaat dikhaata hai
jo din ke ujaale mein na mila us chaand ne raat ki baahon mein chupkar usko thagaa tha kaise bitaayen un kaale dino ke andheron ko jab aaftaab hi ne din ki roshini ko dhakaa tha
har shaks safedposh hai, harek ki bagal mein magar ek khanjar tyaar hai jo shaatir hai wo ghaat lagaata hai, jo maasoom hai usi pe hota waar hai wo paak saaf daaman dikhata hai zamaane ko jiske haath lahoo se range hein wo mazloom kya apna seena dikhayega jiska jism zakhmon se taar taar hai
bus aur ab uska intezaar nahin, bus aur ab usse pyaar nahin, bhalaa ye bhi kya mohabbat hui, ke tu ab bhi bechain hai magar wo bekraar nahin
ab tak kyun seene se lagaa rakha hai us sitamgar ko jo tera bhi nahin hota aur paraaya bhi nahin hota
zamaana beet chuka jab aashiq banaaye jaate the mohabbat ke afsaane sunaaye aur gaaye jaate the wo log bhi beet gaye wo waqt bhi beet gaya jab zindadili se yahan rishte nibhaaye jaate the
kaun kahta hai ke rishte ta umr chalte hein is jahaan mein log mausam ki tarah badalte hein na do kisi ko itna haq ke koi dard tumhen de sake ke dard dekar azeez hi nazar bachaa ke nikalte hein
ek dard sa seene mein uthta hai jab bhi ek lamha bhi tab bitaana mushkil ho jata hai jiske naam se kaat li zindgi saari aksar usko bhulana mushkil ho jata hai koi poochta hai ke chehra udaas kyun hai to udaasi ka sabab bataana mushkil ho jata hai yun to hans kar baat taal dete hein kai baar lekin ashq chupana mushkil ho jata hai jab tab ek na-umeedi maayus karti hai is kadar ke umeedon ko phir jagaana mushkil ho jata hai toot jaate hein yun armaan aksar ke dil ko samjhana mushkil ho jata hai sabr kiya jis had-e-sabr talak kai baar us had ke paar jaana mushkil ho jata hai mat pooch wo kaun hai ke ab uska naam zubaan pe laana mushkil ho jata hai
jab dard ki intehaa hoti hai, dil ka kona kona rota hai rooh tadapti hai besaakhta aur jism taaboot hota hai
sabr karna meri aadat hai, zulm karna uski fitrat na hum bezaar hote hein na wo shramsaar hote hein
chal ab firaaq chhod de, har kaul ki miyaad poori nahin hoti kahin talaash mukkammal nahin hoti, kahin muraad poori nahin hoti
saraab ke peeche sambhal k chaliega janaab ke saraab sirf sahra mein nazar aate hein ho sake to chand saaye saath le jaaiyega kyunke ret par aksar paavn jal jaate hein
paigaam aata hai, paigaam bhej dete hein, ek ek rukka unka yaadon mein sahej lete hein...
ye zaroori toh nahin ke hum hi unhen pukaara karen kabhi kisi roz unse bhi aawaaz ki ummeed rakhte hein ab yeh unki adaa hai, masroofiyat hai ya beparwaahi hum aaj tak na samajh sake ke wo aise kyun karte hein...
सब कुछ छोड़ दिया नई जिंदगी की तलाश में बहुत देर बाद दिल को सुकून नसीब हुआ
जिंदगी की सुबह बिछड़े थे, जिंदगी की शाम को मुलाक़ात हुई बहुत अरसा बीत गया दरमयां, बहुत मुद्दत के बाद उनसे बात हुई मासूमियत की जो पल साथ बिताये थे, हम तो अपनी मिलकियत समझ साथ ले आये थे हमने बहुत मौसम देखे उन दिनों मगर न जान सके उनकी जिंदगी में कितनी बरसात हुई सब्र किया बरस दर बरस और दिल ही दिल में गुफ्तगू होती रही हमारा क्या हम तो तभी उनके हो गए थे उनकी बीती हुई हर रात चाहे किसी और की सौगात हुई अब भी जो मिलीं तो परछाईयां मिलीं और परछाईयां पकड़ी नहीं जातीं हम ख्वाब और हकीक़त में फर्क भुला बैठे थे जब ख्वाब टूटा तो अपनी ही हालत दर्दनाक हुई
zindgi safar nahi, rahguzar nahi manzil bhi nahi zindgi sirf kuch kar guzarne kaam naam hai apne liye to har koi jee leta hai yahan par kisi aur ke liya jeena shaayad sabse badaa kaam hai
zindgi
प्यार की दीवानगी इंसान को खुदा बना देती है वरना कौन है जो ऐसे इस्तकबाल के काबिल है इस जहां में अब एक भी इंसान नहीं मिलता बस इक भीड़ है और भीड़ में खुदा का मिलना मुश्किल है हमारा क्या हम तो बुतपरस्ती को मजबूर हैं खुदा के करीब, लेकिन खुद से बहुत दूर हैं अपने जैसा एक दीवाना ढूढ़ते हैं दोस्तों में जो मेरी तरह दिलशाद है मेरे जैसा आदिल है जो चुप नहीं रहते, वो बगावत करते हैं और उन्हें ही आदतन तवज्जो दी जाती है हैरान है दिल ये देखकर के ज़माने में कामयाब वो हाथ है जो दस्त-ए-कातिल है.... जो दबा लेते हैं दर्द-ओ- जज़्बात यहाँ और मुस्कुराकर हर गम भुला देते हैं यहाँ ना-शऊर ही समझा जाता है उन्हें बेशक वो ज़माने के बेहतरीन फ़ाज़िल हैं .... मत छोड़ो जो तुम्हारा है, छीन लो या तबाह कर दो इस दुनिया का दस्तूर यही रह गया है खंजर सब आस्तीन में छुपाये बैठे हैं कटते वो मासूम हैं जो इस फितरत से गाफिल हैं
raat ko alvida kahne ka jigar rakhte hein, din ko thaamne ka hausla bhi, mere humdard gar mera saath deta rahe, waqt ko hi muththi mein bheench lein
abhi toh sirf ye mere junoon ka aaghaaz hai, us par mera josh be-andaazah hai, apne hausle ke pankh aazmaa rahe hein, magar mere paron ki himmat teri parwaaz hein
zindgi kisi ki bhi mukkammal nahin hoti, har shaks kuch adhoora sa rah jaata hai, uski shafaqat par chodd de apni sab shikan aur dekh kab tak tera muhaafiz tujhe sataata hai.. mukkammal - complete shafaqat - mercy, raham shikan - tension muhaafiz - guardian, protector
musaafir hein, beet jaayenge raahon ke saath har mod par lekin rahbar badal jaata hai koi meel do meel saath chalta hai saath nibhane ko koi kadam do kadam chalkar saath chodd jata hai manzil ka manzar tak dikhta nahin, bus dhool ka ek badaa sa gubaar nazar aata hai gumshuda ho gaye hein khud ka pataa poochte hue har koi har baar mukhtalif raasta bataata hai...
kal ki baat chodd do, yahan aaj ka bhi aasraa nahi, waqt kab naam-nishaan banaata hai, mitaa deta hai
हाथ बिलकुल खाली हैं मगर दिल भरा है किसी का ख्याल अब तक मेरे ज़हन में खड़ा है देख कर खुदा की मेहरबानी उसका करम भूल गए के सर उसके सजदे में झुकने को अड़ा है क्या कोई इंसान बुतपरस्ती के काबिल है क्या कोई इंसान सचमुच इतना बड़ा है हर तरफ से मायूसी झांकती थी हर सुबह उसकी नवाजिश हुई तो ख़ुशी से दिल रो पड़ा है बुझा देता था चिरागों को रात रात भर जलाकर बहुत देर तक ये दिल अकेला अंधेरों से लड़ा है
मिटा के ख़ाक कर दो कोई शिकायत नहीं बस मेरे वजूद पर मुझे शर्मिंदा मत करवाओ बहुत जान है अभी भी दौड़ती मेरी रगों में लहू बहा दो गरचे अरमां मत जलाओ बड़ी सख्त रूह है बड़ा सख्त जिस्म है तेरे सितम मुझे सर झुका के कबूल हैं सता लो जब तक जी न भरे कातिल मेरे मुलायम सपनो को आँखों से न चुराओ हर सांस लेने से पहले गर पूछना पड़े तो एक एक सांस सीने में भारी लगे छीन लो हर सांस मेरी कोई शिकवा नहीं बस मेरी जीने की उम्मीदों को न मिटाओ
अभी तो यहीं था , लो अभी यहाँ से चला गया वक़्त का हर लम्हा वक़्त को बहला गया फिसल गया हाथों से जुज रेशमी रेत का कतरा जाते हुए लेकिन मेरी उम्मीदों को सहला गया
तमन्नाओं को बाँध कर अपना हासिल बना लिया हमने खुद को तेरे नाम के काबिल बना लिया तेरी इब्तदा करना मेरी फितरत बन गयी तेरे दयार की राहों को मंजिल बना लिया
जहाँ दूरियों का अहसास न हो, जहाँ कोई गम पास न हो, चल चले उस ज़मीं पर ए हबीब मेरे जहाँ दिल बदहवास न हो हाशिये पर जीते हैं, हर रोज़ ज़ख्मों को सीते हैं कोई तो ऐसा ठिकाना होगा जहाँ लोगों में खटास न हो दामन थाम के तेरा, काश जिंदगी उधर ले जाए जहाँ हर तरफ तस्कीनियाँ हो, कहीं बेअदब प्यास न हो सहारा हो, सुकूं हो, और बेशुमार प्यार हो, सिर्फ तुम हो, सिर्फ मैं हूँ, और कुछ हवास न हो
हर रिश्ता यहाँ एक मियाद लेकर आता है, वक़्त के साथ हर साथ बदल जाता है, शिकायत करो भी तो कौन सुनता है दिल की फ़रियाद हर कोई बस उतना निभाता है, जितना निभा पता है ... ज़माने में हरेक अपना गम खुद ही उठाता है सिर्फ अपना हाथ ही अपने आंसू पोंछ पाता है हर युग में मसीहा मर जाता है आवाम की खातिर कौन भला उसका सलीब अपने काँधे लगाता है
वो क्या समझेंगे रिश्तों की अहमियत को जो लफ़्ज़ों में खुद को उलझा बैठें हैं अपने ही बनाए किलों में कैद हो गए हैं और दोस्तों-दुश्मनों का फर्क भुला बैठें हैं ये शिकायत नहीं, गुजारिश नहीं, जिद भी नहीं के हम चुपचाप उनसे फैसले की उम्मीद लगाए बैठें हैं उनकी महफ़िल में गए थे सर उठा कर वो बीती के अब तक खुद से भी सर झुकाए बैठें हैं
हमारे हिस्से का आसमान एक दिन कदमों के नीचे होगा , हमारे हिस्से की ज़मीं पर बादल बिछ जायेंगे , तकदीर को लकीरों में सब ढूंढते हैं सभी, मगर , अपनी तकदीर की लकीरें भी हम खुद बनायेंगे ...
देख हर ख्वाब के ख्वाब ही हकीक़त बनता है जागती आँखों से मगर ख्वाब देखना दुशवार है गर कर सको ऐसा कलाम तो कमाल है दोस्त के मेहनतकश से उस अर्शवाले को भी प्यार है तेरे तुझपर हो न हो मुझे तेरे हर ख्वाब पर बे-अन्दाज़ाह और बे-हिसाब ऐतबार है बस अब तमन्ना है तेरे फरोग की मुझे और मुझे तेरी कामयाबी का इंतज़ार है फरोग - प्रोग्रेस
ये कैसे दोस्त हैं मेरे खुदाया ये कैसे यार हैं कैसे कहें, मेरे गम के शायद वो ही ज़िम्मेदार हैं कटघरे में खड़ा कर दिया बिन गुनाह के यूँ ही जब की हर एक दोस्त मेरा खुद गुनाहगार है
गुनाहों की बुनियाद खुदा नहीं रखता तो माफ़ वो क्यूँ कर करे के अपना सलीब एक दिन मसीहा ने भी खुद ही उठाया था जब सज़ा मिली तो चिल्ला उठा हर ज़ख्मे जिगर तब क्या सोचा था जब ऐसा करम फरमाया था
बक्श दी सारी खताएं , माफ़ कर दी गुस्ताखियाँ , अब इससे बड़ा दिल और कहाँ से लायें हम... ये खातावारों की दुनिया है दोस्त मेरे , गुनाहगारों ki नहीं ...
रिश्तों को इतना भी मत बिगाड़ो के दोस्ती ख़तम हो जाए, कभी कहीं महफ़िल में मिलें, तो आँख भी ना मिला पायें ..
jahan sirf gum basta hai, wo mera jahaan nahi, jahan aasma suraj ko tarasta hai, wo mera jahaan nahi, jahan rishte yun hi toot jaate hein, wo mera jahaan nahi, jahan doston mein dushman nazar aate hein, wo mera jahaan nahi..
jeene ke liye sahaare nahi chaahiye, sirf khwaaish aur khwaabon ko sahara banaa le, yahan apna, paraya koi nahi, sab matlab ke yaar hein, khul kar jee aur samandar ko kinara banaa le...
Dil-e-Naadan ko hosh aaya hi kab tha, ke madhosh hue ek zamana beet gaya jin zakhmon ka shumaar bhi na kabhi is dil ko, unka hisaab rakhte hue waqt muheet gaya... muheet-encompass
meri barbaadi ka sabab bhi mera sarmaya hai, bahut der baad dard phir meri jaanib aaya hai...
zindgi jeena nahin choddti jab tak zinda rahne ki dil ko razaa hai, garaz ye ke bin razaa ke, zinda rahna bhi ek sazaa hai...
खलिश सी है अब तक सीने में कहीं कहीं कुछ दिल में खटक सा रहा है कहने को हिकायतें बहुत हैं लेकिन जुबां पर हर लफ्ज़ अटक सा रहा है कोई चुप चाप बैठा है अपने घर में कोई बेचारा तलाश में भटक सा रहा है थाम कर दामन जो एक रोज़ रोका था हमे आज वो हाथ मेरा साथ क्यूँ छटक सा रहा है
k aamyaabi ke liye kismat se milna zaroori hai faqat mehnat rang laati toh koi be-zar na hota.... muflisi jurm toh nahin magar sazaa besahq hai warna har gharib shaks yun gunaahgaar na hota be-zar - Destitute, Poor muflisi - poverty
ek saaf panne se zindgi shuru hui hai dobara ek purani aawaaz ne maazi se phir pukara, naye rishton ki nayi dor thaame laut aaye hein hume is bazm mein dhoondhte hue naya kinara....
pahla kadam koi toh uthaaye, koi to thokar maare, koi toh jhunjhalaye, mulk ke baashinde sabhi chillate hein, humukraano ko magar koi to jagaaye, sab ki kaat hai zamaane mein lekin, koi to haathon mein shamsheer uthaaye, raasten veeran nahin, haan, siiyahiyon se bhare hein koi to mashaal jalaakar inki taariiki mitaaye, aawaam chup baithi hai, magar goongi nahi, bolegi, magar koi to pahli aawaaz uthaye hum tyaar hein, use rah-numa banaane ko, koi to is desh mein inqlaab laaye..
teri qurbaton ke pal meri fursaton mein mera dil bahalaate hein , lekin tere saath bitaaye lamhen mere bistar par har raat kyun nazar aate hein?
meri ummeeden uski inaayaton se kuch zyaada hein uski tavvajjo meri zarooraton se kuch kam faasla sirf do kadamon ka hai dekhna ye hai k tay wo karte hein ya hum....
kanha ranvaas mein rukmani sang rain bitaawe bhor hote hi magar radha radha ki alakh lagaawe radha need bhare nain liye soch rahi door des piya viraajat, kaisan mathura talak jaawe hiya mein ek peer hai, haathon mein abeer hai hori ka rang ab kaise aur kis sang manaawe kanha ek hai aur saikdon gopiyan koi sakhi nahin jo piya se milan karwaawe
milte hein dil kabhi kabhi warna hein yahan ajnabee sabhi kuch to tay hoga kismet mein harami baad muddat ke yun hum mile tabhi
pyaar karna koi badi baat nahin pyaar nibhana agarche mushil kaam hai ishq khuda ki ibaadat zaroor hai par aashiq har daur mein badnaam hai...
apni taqdeer ke kuch pal mere daaman mein daal do ke mukkammal mera bhi intezaar ho koi to tera bhi din mera ho kisi raat par to mera bhi ikhtyaar ho...
इंतज़ार करने की वजह बदल जाती है इंतज़ार का लुत्फ़ भी गुज़र जाता है जब कोई अपना , मसरूफियत का हवाला देकर इंतज़ार को इंतज़ार करवाता है ..
सर्द हो चुकी मेरी उम्मीदें फिर एक बार गरमा गयीं बेचैनियाँ बढते बढते फिर से सुकून पा गयीं ख़्वाबों को फिर आँखों में समाने का मौका मिला किस्मतें एक बार फिर मुस्कुरा गयीं बिछड़ना गर तकदीर में शुमार था मेरी तकदीर ही फिर एक बार उससे मिला गयी बचपन बीता था तो जार जार रोये थे मगर उम्र की बहती हवाएं फिर जवानी लौटा गयीं
रात भर उसके ख़त का इंतज़ार करते रहे हर आहट पे जीते रहे, मरते रहे दिल-ए-मासूम को एक बार फिर तोड़ दिया उस बे-मुर्रव्वत ने, हम करवट करवट वक़्त के साथ गुज़रते रहे न सलामती बताई, न हाल-अहवाल लिया हम अंधेरों से तनहा ही लड़ते रहे मौला क्यूँ किसी बे परवाह से यूँ मोहब्बत हो गयी क्यूँ भरी महफ़िल में उसका दम भरते रहे ?
जूनून-ए-इश्क बेहाल कर गया रात का सुरूर दिन चढ़ते ही उतर गया वो जिसे आँखों में बसा रखा था टूटे ख्वाब सा गिरा और बिखर गया ना अलविदा कहा, ना खुदा हफिज़ी की रस्म निभाई गफलत में जिए और गफलत में उम्र बिताई मोहब्बत की कसम शिद्दत से मोहब्बत निभाई फिर भी उसका ख्यालों से मेरा ख्याल उतर गया
वो साथ कुछ पल का और शर्मिंदगी उम्र भर की अब यारों से नज़र मिलाएं कैसे तेरा दर्द हिज्र का, मेरा तिशनगी का दोनों का दर्द मिटाए कैसे ?
हम दिन रात उन पलों में बसेरा करते हैं अपनी रातों में उन यादों से सवेरा करते हैं उस बेपरवाह को इल्म नहीं ना सही हम उसके नाम की शमा जलाकर अपनी जिंदगी में अँधेरा करते हैं
तू प्यार कर के तुझे हक है मेरी जिंदगी को अब प्यार पे ऐतबार नहीं ...
तुम्हारी संगदिली का अब क्या शिकवा करें रात रकीब के पहलू में बिता दी और सुबह कितनी मासूमियत से हमे एक मीठी सी आवाज़ लगा दी
जीने की वजह भी मिल जाती है, जीने के बहाने भी बस, जीने के खवाब सजाते रहो मिलेंगे अभी बहोत हमसफ़र राहों में आपको बस तकदीर को अपनी आजमाते रहो
उसको सामने बैठाकर ढेरों बातें करते रहो याद बस इतना रखना कि तस्वीरें जवाब नहीं देतीं दिल बहलाने का सामां तो मिल जाता है मगर यादें गुज़रे वक़्त का हिसाब नहीं देतीं
मेरे ज़ख्म भी मुझे अब दर्द नहीं देते के वो मेरे अपनों की ही सौगात हैं फर्क समझते ही नहीं हबीब और रकीब में कुछ उलझे हुए अब मेरे जज़्बात हैं
वो जो दम भरते हैं मोहब्बत का प्यार उनके लिए जरिया है वक़्त बिताने का हम ही बे शऊर थे खुद को उसका खुदा समझ बैठे और खाया धोका उनकी को मोहब्बत ना अजमाने का
junun-e-ishq tha behaal kar gaya raat ka surur din chadte hi utar gaya wo jise aankhon mein basaa rakha tha toote khwaab sa gir kar bikhar gaya na alwida kaha, na khuda ki hafizi ki rasm nibhai gaflat mein jiye aur gaflat mein ye umr bitaai mohabbat ki kasam shidaat se mohabbat nibhaai phir bhi uske khyaalon se mera khyaal utar gaya
tere waade pe aitbaar karne ko majboor hein aur waadaa khilaafi pe teri, bharosa hai dil-e-maasoom ko ------------------------------------------- tumse dosti ka rishta kabool hai, mohabaaton ke raaste kuch pecheeda hein ek baar hum bahak gaye to kya hua ab is baar tumhare jaanib ye naate sanjeeda hain ------------------------------------------ ye zaroori toh nahin ke hum pukaara karen rozaana kabhi kisi roz unse bhi umeed rakh baithe hein ------------------------------------------ tere waade pe aitbaar kiye baithe hein khud se dushmani magar tujhse pyaar kiye baithe hein
bahut mushkil tha kisi ko samajh panaa bahut mushkil tha kisi be-parwaah se dil lagana hum toh yun hi zamaane se be-zaar aur maayus the us par us sitamgar ka bewajah yun hume satana..... ------------------------------------------------ dil mein ab tak ghar kiye baitha hai, aise mehmaan ka kya kare koi massarraton ko bhi jo rula de, aise insaan ka kya kare koi --------------------------------------------------- mujhe aaina bhi ab uski soorat dikhaata hai har taraf bus ek hi chehra nazar aata hai din bhar dil ko bahla lete hein lekin raat bhar us naamuraad ka ek khyaal satata hai... --------------------------------------------------- kabhi dil se yaad jaati nahin, kabhi bewajah aankh bhar aati nahin jab bhi leikn us bemurravvat ka khyaal aata hai, agli saans seene mein samaati nahin ------------------------------------------------- ab koi aas nahin ab koi pyaas nahin teri mehrbaaniyan itni hui ke ab ke dil udaas nahin
uski nazdikiyan saans bakhshti hein, uski nazdikiyan jaan le bhi leti hein uski dooriyon se khauf ab lagta hai, ke uski dooriyan ab khauf deti hein... --------------------------------------------------------------------- pahlu mein yaar ke, jaanib dildar ke, baithe rahe dil maar ke to tadap jaate hein aur tujhe bulaate hein jeete hein bin pyaar ke, dushman sabr-o-qaraar ke, haal bure ishq-e-bimaar ke to tadap jaate hein aur tujhe bulaate hein.... ---------------------------------------------------------------------- apni kasamon mein baandh to diya, khud ka dil pe ikhteyaar nahi, tujh par to aitbaar hai mujhe, ab khud par aitbaar nahi wo hi sitam karte hein , jis se khud bhi darte hein ab jo aalam-e-badhawaasi hai uske tum zimmedaar nahi
hamaari subah aati hai, hamaari shaam aati hai har dhadkan is dil ki magar kyun tere naam aati hai bahot bekaar si zindgi ho gayi hai yaarab bin tere koi aur nahi sirf teri yaad hi ab mere kaam aati hai
na choddi jaati hai, na sambhali jaati hai, teri preet sirf ab mera dil jalaati hai dard ki duhaai den ya aankh ki rulaai ki jab tab dekho bin bulaaye chali aati hai....
had ho gayi hai mere sabr ki, zabt ho gaya hai mera jabr bhi tere paigaam ki kami is tarah kali hai phatne ko hai aankh ka abr bhi -------------------------------- kaun kahta hai ke habeeb jaan nahin lete, ke unka tagaaful meri maut ka sabab na ban jaaye... --------------------------------------
na-ummeediyon ke beech mein bhi ummeden chooti nahin kyun kisi be-parwaah par itna aitbaar hai mujhe dil-e-naadaan ko samjhaaten hai, manaate hein rozana ke jaante hein kaise Ashqiyaa se pyaar hai mujhe Ashqiyaa - cruel
ishaaron ki zubaan jo samajhta nahin khudaya, us naa-samajh se samajhdaari ki ummeed kyun karen
rishton ki gunjal, rishton ke peche, rishton ki naazuk reshmi dor, tum kya jaano inki shiddat, tum kya samjho inka zor...
doobne ko samandar bhi kam pad gaya tairne chaaha toh kinaare door ho gaye itne charche hue hamaare pyaar ke har taraf ke badnaam gali gali hum huzoor ho gaye koi shikast nahin, koi gum bhi nahin koi iltjaa bhi ab karne ko baaki nahi rah gayi teri jaanib dekhte sabne hume dekh liya aur, doston ki mahfilon mein hum mashhoor ho gaye uff ye berukhi, aur uspar ye gureziyan tera aankh churana bhi teri adaa ban gayi barson ki ummeeden tooti to aadatan aankhon mein rote rote naasoor ho gaye
kuch pal bitaaye unke saath, ab tak bhi beete nahin har lamha aankhon mein unki sharaarat baaki hai unki baahon ka sahaara mila tha dum bhar ko lekin ab tak mere jism mein uski haraarat baaki hai

khuda ki soch

tere baad khuda ne mera naam likha hoga teri saans ke baad mujhe saansen di hogi tere wajood ke baad mera wajood sujhaya hoga tere saath meri taqdeer ko tabhi basaya hoga koi toh mere jeene ki wajah rahi hogi koi toh meri moujudgi ka sabab paya hoga is zameen par koi yun hi nahi aata koi toh bahaana kismat ne banaya hoga kabhi toh haathon mein lakeeren khinchi hongi kabhi toh mera bhi muqqaddar sajaya hoga tu hi haasil bane meri zindgi ka kabhi toh khuda ki soch mein ye aayaa hoga
roothne aur manaane ka haq hum bhi rakhte hein, tumhara kya, tum toh ye hunar aaj tak jaane nahin kabhi roothe hum, to tum hume manana na sake kabhi roothe tum, to humse maane nahin
kyun laut aaye ho meri zindgi mein ek baar phir, ba-mushkil bahot baras beet gaye tumhen bhulaane mein soyi si yaadon ka waasta den ya jaagi hui umeedon ka, dil abhi tak behosh hai ke lagega waqqt hosh aane mein ye maloom na tha, kahan chupaa tha naa-muraad pyaar tera ab tak dil ke kaun se kone mein, zindgi ke kaun se khaane mein bahot der kar di mere huzur aur itni sadiyan lagaa di apna pyaar jataane mein aur haal-e-dil bataane mein
suni si ek aawaaz phir suni, goonjta kaano mein ek geet sa dost ban kar juda hua tha, mila arse baad manmeet sa... bachpan ki maasoomiyat, ab tak chupi hai kahin ahsaas lekin badal gaye, jo dosti kabool na karta tha bin shabdon se bolta raha bhari mehfil mein aur har lafz lagta uska an-bujhi preet sa.... phir usko wahin khadaa paaya, jahan se bichda tha kabhi unhi sadkon par sar jhukaaye gungunaata hua sar uthaaya aur muskuraaya aur suraj nikal aaya shaayad tabhi aaj ka din lagaa , tees baras puraane ateet sa...
kal se pahle anjaana tha woh, kal tak bhi paraaya tha, ek guma hua shaks laut kar, phir meri zindgi mein kaise aaya tha? Barson pahle haath badaya tha humne barson pahle usne ye hausla na dikhaya tha aaj bhi ye sahra hamaare sar, ke pahle kadam humne hi us taraf badaya tha aaj din bhar dil mein shor raha aaj khaamoshi ne meri uska naam dohraya tha lekin zahan mein sawaal uth rahe hein ke, kya yeh hi shaks kabhi mere saaye ka humsaya tha? ek arsa beet gaya hai, khwaabon ko door rakha tha aankhon se magar raat ko arse baad phir ek haseen khwaab aankhon mein chaaya tha palkon se khmbkhat nikla hi nahin saari raat kal usne is kadar jagaaya tha ye dosti nibhaai ya dushmani nikaali dil ab tak samajh na paayaa tha....
kyun sataate ho mujhe kyun jagaate ho, kyun gayi raat mere khwaabon mein aate ho koi haq nahin hai phir bhi haq jataate ho kis hausle se mere dil mein samaate ho???
kabhi apna lagta hai kabhi sapna lagta hai kyun sukun se zyaada achcha ab tadapna lagta hai???
Dil-e-maasoom ko is kadar sataya gaya ke dard ki shiddat bhi ab mahsoos nahi hoti aansuon ka takaazaa bhi ab hum nahi karte aur kambkhat aankh bhi ab aabshaar nahi hoti
ab kis kis se gila karen, sabne aaj dushmani nibhaai hai, neend ki jagah aankhon ne aaj kisiki surat basaai hai....
tum kisi aur ke sarmaye the, phir kyun mere paas aaye the theek hai ek aawaaz humne bhi di thi ke hum na jaante the ke tum kitne paraaye the hamaari be-shauri thi aur aankhon pe parda tha ke lagaa woh mehfil mein hamaari khaatir aaye the ab koi shikwa nahin, na gila koi tumse ke hamaare paas woh pal hein jo humne us din churaaye the...
neend aakaar aankhon se waapas ja rahi hai tumhen aana hai to yaad nahi khawaab bankar aa jao bahut thak chuke hein ladte ladte haalaaton se kuch toh raham karo, kuch toh karam farmaao
kal khaamosh rah kar mujhe pareshaan kiya aaj meri khaamoshi se kyun woh be-zaar ho gaya ya khuda, ye tera kahar hai ya karam ke is ajeeb shaks se mujhe pyaar ho gaya
Ab yeh unki be-rukhi thi ya hamaari be-basi, ke din bhar unka intezaar-d-paigaam kiya, har aahat pe lagaa ab naambaar aaya, har aawaaz pe dil-e-maasoom ko thaam liya...

koi sawera nahin

tum bewafaa toh nahi, be-parwaah zaroor ho, kya tumhara waqt ka ek lamha bhi mera nahin, kyun umr bhar intezaar kiya raat beetne ka, jab mere muqqaddar mein koi sawera nahin....
ghazal mein piro kar usne haal-e-dil sunaya chashm bhar aayi magar aansu na baahar aaya zabt kar li apni diwaangi hamne kuch is tarah aur baarish ki shakl mein ashqon ka aabshaar banaya
us ab raat ko aur na kosiye ke raat bhi haseen hoti hai kitni maasoom lagti hai ye jab odd kar taaron ko soti hai kahin kisi dukaan par itna kaajal nahi jitna har raat is raat mein hoti hai ye chaand ko bad nazar se bachaane ko khud ko kaalikh mein bhigoti hai... sach raat bahot haseen hoti hai...
har gosh mein ek khwaab chupa baitha hai... zaraa jaale utaarna sambhal sambhal ke!!!! ------------------------------------------------ zulm ki hukumat zulm ke pahar talak, baaki raat ka bhi koi khairkhwa nahi, teg ki dhaar tez karte raho beshaq kaatni hai gar raat ki saugaat yaron.... phir ek roshani ka bhabhaka uthega, phir ek jhini si kiran muskaraayegi bus tab tak hathiyaaron ko sambhal lo jab tak na guzar jaaye gum ki barsaat yaron..
kabhi hasne ke koshish ki toh aansu nikal aaye ke ab rone ke lamhe kaise hote hein kya pataa?????
kabhi kahti kahani, kabhi banti fasana, kisi pal rona, kabhi muskurana, zindgi khel khel mein beet jayegi, kisi pahlu gum, kahin hansi ka khazana.... -------------------------------------- koi waada na tha, koi karaar bhi na tha, dil ko magar uske aane ka intezaar bhi na tha, hum to us ek maraasim ko yaad karte hein jis maraasim par kabhi mera ikhtyaar na tha...... haand ne kabhi maraasim kiya hi nahi... (Agreement)...woh to raat ki bandishon mein yu hi quaid hai...jab jab raat aayegi, usko aana hi padega...kabhi poora, kabhi toota sa...haan, kabhi kabhi usko sunday mil jata hai, to chutti ho jati hai --------------------------------------- ya maula, woh shkas kahan baitha hai, jo tera naam lekar mujhe duaaen deta hai, uska bhi bhalaa ho jo bin baat kiye har baat pe, dil se meri khushiyon ko sadaaien deta hai......
uska mujasamma banana mumkin to nahi, garche ek baar koochi uthakar hum bhi dekhenge, tassavvur se utha ke chehra us naazneen ka, kaaghaz pe use utaarkar hum bhi dekhenge.....
Tu jaag, agar jaagte logon ko, phir jagaana hai, ke yahan neend mein koi kambakhat nahi hai, sab baithen hein intezaar mein kisi maseeha ki, rabt hai harek mein magar zabt nahi hai... rabt- closeness zabt-patience, tolerance
Wo ek kadam bhi na chale, hum meelon tay kar aaye khudaya unki berukhi par is dil ko koi kaise samjhaaye...
ashk ban kar teri aankhon me utar kar dekhun dard kitna hai inme aur kitni tanhaai hai kyun lakeer si khich kar teri aankhon se, gili si be-qaraar hokar tere gaalon pe utar aayi hai kiska aks chupa rakha hai in koron mein kiski khaamosh tasveer inme samaai hai kaun aakar ghar banaa gaya besaakhta hi kisne inki maasumiyat ko nazar lagaai hai ik palak uthi hai alsaati hui meri jaanib ik nazar kyun jhuk kar sharmaai hai us palak ki be-noor sargoshiyon ko humne ek baar phir roshan karne ki kasam khai hai yun to koi karaar nahi mera tere aansuon se na kabhi koi maraasim ki baat banaai hai phir bhi ek shouk tha wafaa karne ka beshaq isliye taa-umr tujhse wafaa nibhaai hai teri aankhon mein chupe har ashq se pooch le inki har boond pe humne jaan lutaai hai har taraf tujhko hi dekha kiya karte hein jabse teri soorat apni aankhon mein basaai hai
sapne dekhna faqat shouk nahin, sapno se meri saanson ki ravaani hai, unn sapno ko haasil karne ka junoon hi meri zindgi ki kahani hai, har khwaab sach ho jaaye, ye mumkin toh nahin hai doston, haan, koshishyen karna kaamyaabi talak, meri ek aadat purani hai, log band aankhon mein sapne sambhaalte hein aksar, khuli aankhon mein sapne sanjona, sachmuch ek ajab diwani hai, ab ise meri be-shaouri samajhiye ya ke hamaaqat samajh lijiye, mehfil mei baithe ahbaab khate hein tu waakai laa-saani hai.. faqat - only shouk - hobby ravaani - flow be-shauri - stupidity hamaaqat - foolishness ahbaab - friends waakai - actually laa-saani - matchless

n response to Nitin Sharma's note on corrupt politicians....

pahla kadam koi toh uthaaye, koi to thokar maare, koi toh jhunjhalaye, mulk ke baashinde sabhi chillate hein, humukraano ko magar koi to jagaaye, sab ki kaat hai zamaane mein lekin, koi to haathon mein shamsheer uthaaye, raasten veeran nahin, haan, siiyahiyon se bhare hein koi to mashaal jalaakar inki taariiki mitaaye, aawaam chup baithi hai, magar goongi nahi, bolegi, magar koi to pahli aawaaz uthaye hum tyaar hein, use rah-numa banaane ko, koi to is desh mein inqlaab laaye. jhunjhalaye - irritate baashinde - people mulk - country hukumrano - rulers kaat - cure shamsheer - sword siyaahiyon - darkness taariki - darkness aawaam - public rah-numa - leader
Wo ek kadam bhi na chale, hum meelon tay kar aaye khudaya unki berukhi par is dil ko koi kaise samjhaaye...

to all KVTG friends....

yaaden dohra rahin hein woh manzar phir ek baar, kuch bachpan ke pal aur bhoole lamhen hazaar lauta ke laayega waqt phir dost purane ek shaam us shaam ka bahot be-sabri se hai hume intezaar... yaaden dohra rahin hein woh manzar phir ek baar, kuch bachpan ke pal aur bhoole lamhen hazaar lauta ke laayega waqt phir dost purane ek shaam us shaam ka bahot be-sabri se hai hume intezaar... ek arsa beet gaya doston se mile hue, bus baras dar baras ka beetna yaad hai...
har pal ek yaad ban gaya yaaron waqt aaj kaise guzar gaya yaaron koshishen bahot ki thaamne ko har ghadi tasveeron mein lamha lamha utar gaya yaaron... thanks to everyone who attended the reunion...and missed everyone who didn't
zindgi ko kabhi paas jaakar dekha hai, zindgi ko kabhi apna banaakar dekha hai, jeena toh aasaan hai lekin e dost mere, kabhi maut ki taraf muskura kar dekha hai....
quaid kar liya tasveeron ko in aankhon mein jab se mizhgaan par thahare hue ashq behne ko beqraar hein tab se muddaten hui bheege nahi baarish mein e yaar mere chupaane hein aaj aansu, toh maangen hein baadal rab se .....
har anjaan shaks mein ek dost chupa baitha hai, bus dilon ke darmiyaan deewaron ka girna zaroori hai
pyaar dhoondhna behad zaroori hai jeene ko aajkal sab taraf nafraton ki ibaadat hai... ------------------------------------------------ zindadil sehra mein bhi naagfani dhoondh lete hein ke dileri se jeena bhi ek aadat hai... sehra - desert naagfani - cactus ------------------------------------------- zindgi ritiyon aur riwaazon ke gunjal mein kab dum tod deti hai, khabar nahi hoti sirf mukaam pe mukaam guzarte rahte hein aur mukaam pe mukaam guzar jaate hein....
Dil-e-Naadan ko hosh aaya hi kab tha, ke madhosh hue ek zamana beet gaya, jin zakhmon ka shumaar bhi na kabhi is dil ko, unka hisaab rakhte hue waqt muheet gaya... muheet-encompass This heart is unconscious to its pains, only time has secretly kept an account of them. ------------------------------------------------------ kaun sikandar bhalaa khud se jahaan jeeta tha har sikandar ne saikdon pyaade maut ke bhent chadaaye... saikdon - hundreds pyaade - soldiers
meri aankhon ki gaharaai mein meri umr bhar ka tajurba chupa hai, ab koi inhen sharaarat samjhe, toh samjha kare.... ---------------------------------------- aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen aaj bhi mera maazi lauta laata hai aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai... ta-umr -life long zariya-e-chashm - through eyes aks - reflection maazi - past
kuch toh majboori rahi hogi apni bhi, ke chaahkar bhi mil na sake, inshaallah daur-e-mulaakaat ke jashn abhi aur aayenge .... --------------------------------------------- aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein, aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai, bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr, zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai, ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen, aaj bhi mera maazi lauta laata hai, aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi, sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai...
raunken tere ru se hein, roshini tere rubru se, aur muskurana uspe tera, waah ji waah... ----------------------------- phir mehfil sajaai gayi, mujhe bhi aawaaz lagaai gayi, doston ke dyaaron par phir, mere naam ki shamaa jalaai gayi.... ------------------------------ tasveeron mein jo chehre dekhe, kabhi unse zindgi waabasta thi, kuch ajnabi se zaroor lage, wo bichde dost mere....
na nazar tirchi hai, na muskuraahat katilana, ye musavvir ki koochi ka gosh nirala hai.... musavvir - artist koochi - paint brush gosh - angle
Bahot kashmkash hai, bahot baichainyan hein, har ghadi jaan ko aatish ban jalaati hai, hansten hue waqt aansu atakte hein labon pe, royen toh muskuraahten aankhon ki bheeg jaati hein....
zindgi ki ibtadaa se waakif hein sab, lekin jaane ka na waqt tay hai, na zariya, har lamha khul ke jeeo ke kaun jaane, kaun sa lamha aakhri lamha ho jeene ka... har jaam poora bhar de e saaki mere meene mein, haan, chalakne talak ke phir mauka lage na lage, saath doston ke baith kar peene ka...
har chaman gulzaar hota hai gar baagbaan hifaazat kare, ke veeraano mein ugte phool aksar jangli kahlaaten hein... khudaya baksh de apni inaayaten un safedposhon ko bhi, jo khud kufr karke, mazloomon pe ungli uthaate hein... baagbaan- gardener safedposh - white collared people kufr - Infidelity mazloom - oppressed
beete hue pal yaaden ban jaate hein, har yaad chote chote palon ki ladi hai, pal-pal yug bane aur yug bhi beet gaye yaad lekin ab bhi wahin khadi hai.....

pain of cancer patients

dard jaata nahi na hi dard ki shiddat kam hoti hai, marz aisa hai ke chaargaar bhi rota hai ilaaj karte karte... khwaaishen sab simat bus ek khwaaish mein samaa jaati hein ke jeena hai abhi aur kuch din mujhe marte marte......
butparasti ka kufr karke sar navaate hein hum jaise hi zamaane mein kaafir kahlaate hein, ebaadat karna shauk nahi aadat ban chuki hai, har roz isliye teri chaukhat pe aate hein...
wo jhootha hai jo zamaane mein tanha hone ka dum bharta hai, bhalaa yaaden, khwaab aur ummeedein kabhi daaman chhodti hein har mod pe mil jaatin hein kambakht be-saakhtah aur be-sabab, aur dil-e-maasoom ko sau sau baar todti aur jodti hein....
kya pyaar, kya khumaar, kya betaabiyan hoti hein, sirf ek chaahat sab rang dikha jaati hai, jab din mein qaraar nahin aata aur raaton ko neend nahi aati hai ----------------------------------------- ek kadam, do kadam, har kadam saath dena, raaste khatam na bhi ho, waqt achcha guzar jaayega.... ---------------------------------------- samandar se falak tak sab kuch bheeg gaya, aansuon ne jab palak tak ka safar tay kiya... ---------------------------------------- umr ki seemayen, umr hi jaane, dil ko seemaon ka koi bodh nahi hai, har din jeeo jeevan ka jeete hue, khushi ka milna tab avrodh nahi hai
o raaste chhod aaye, jin logon se muh mod aaye, unn modo ko dobara mud ke na dekho to bhalaa... dard bhari aankhon se, muskurate hue hontho se, phir beete waqt se dobara jud ke na dekho to bhalaa na kuch haasil hota hai, na kuch aaraam mita hai, unn raaston pe jaakar, dard bina daam milta hai, jeeo zamin par, khud ke saath, phir beshaq tanha aur aasmaanon mein ud ke na dekho to bhalaa...
fizaaon mein ek khushboo hai jo zahan se jaati nahi, hawaaon ki taazgi, falak tak mein samaati nahi, chashme aab thanda pad gaya is mausam mein, dilon ki aag ab kisi ki hasti ko jalaati nahi sardiyon ke aagosh mein subah ka sooraj hai aur sooraj ki garmi ab jismon ko tapaati nahi, lihaafon ko odkar raaton ko soten hein aajkal, aur chaandi raaten barf bankar ab hume satati nahi....