Posts

Showing posts from 2012
doston se dosti kar ke bhi  dekh li dost aksar mujhe bhool jaate hein unse achche to mere dushman hein jo mujhe kosne meri dahleez tak aate hein farq karna doston aur dushmano mein bahut aasaan lagta hai mujhko aajkal ke dost rishta jod kar dagaa dete hein dushman badi shiddat se dushmani nibhate hein parde mein doston ko rakhna ek fitrat ban gayi hai baat  baat par log doston se nazar bachaate hein wo to dushman hi hote hein azeez aapke jo seena thok kar har raaz bataate hein bahut faqr hai mujhe mere dushmano par kam se kam wo mere seene par waar karte hein un doston se bhi magar koi gila nahi hai mujhe jo chehre pe hansi aur aasteen mein khanjar chupaate hein
shaayad tum nahi jaante magar shama ka shor bhi hota hai jab wo jalti hai, pighalti hai mehfil mei to dil uska bhi rota hai.... humne tab tab uske aansuon ki jalan ko mehsoos kiya hai   jab jab koi parwaana uska daaman apne lahu se bhigota hai.... bazm mein kisi baashinde ko uski roshni se parhez kyunkar ho jab raat bhar jalne ki sazaa dene wala khud chain se sota hai....
tumse sach kaha nahi jaata hume bhi sach se kya haasil hua tera mujhse milkar bhi na milna meri badkismati mein shaamil hua
ek din ka malaal agle din tak mat laaiye gusse mein beete lamhon ko dobara mat bitaaiye jo waqt bura lagaa ho use guzre waqt par chhod aaiye sirf hansi ke pal yaad kariye aur hasten hue zindgi bitaaiye
din bhar ke shikwe raat bhar mein mita do ke ye dil bahut maasoom hai gamon ko rakhne ke liye aaftaab har roz jung jeet jaata hai andheron se ke raat ka aanchal chota hai din ko dhakne ke liye
haath jodte hein tere aage, haath kholte hein tere aage tere aage hi sir jhukaate hein har roz tujhse dil ki baaten kahte hein teri hi sharan mein aate rahte hein teri kahaani khud ko sunaate hein har roz ik tera hi sahara, ik teri hi khawaaish ik tere hi naam ki alakh lagaate hein har roz tere aage kuch nahi, tujhse pare koi nahi is dil se tujhe hi bulaate hein har roz
mujhe abhi apne sapne paane hein bahut se khwaab sach kar dikhane hein meri aankhon mein saje adhoore se lagte hein mujhe ve khwaab dharaatal par laane hein
har raat khareed kar rakh loon har din rumaal mein chupaa loon jab safar shuru ho mera is zameen pe nayi kaaynaat basaa loon kahin tujhe taaron ki kami na khale kahin bin phoolon ke kaam na chale isliye socha khusbooyen aur roshniyan lekar apni muththi mein dabaa loon wahan sabaayen bhi le chalenge wahan fizaayen bhi le chalenge rang hayaat ko sabhi churaa kar chal apni aankhon mein samaa loon jo ghar banega hamara kuch juda hoga usme mere saath sirf mera khuda hoga sabke saath usme tujhe bhi sametkar apne is jahaan ko apne haathon sajaa loon...
mujhe baaton mein uljhaao mat meri hasti ko aur jalaao mat haq cheen ke mera jab baant diya mujhe tukdon se ab bahalaao mat tasveer ko sau jagahon se toda lakeeron ko baarhaan joda aur maroda har kona ab kataa-fataa naye panno pe usko chipkaao mat mujhme meri samajh kaafi hai tumhen apni soch rakhne ki maafi hai tum beshaq apne liye sachche ho magar meri soch ko yun jhuthlaao mat... mujhe baaton mein uljhaao mat...
teri dooriy mujhe tujhse beshaq bekhabar nahi karti haan, teri nazdeeki bhi ab mujhpe asar nahi karti waqt ke sailaab ne phir wahin par chhod diya hai hume jahaan tak teri yaadon ki kishti ab safar nahi karti,,, junoon-e-ishq chadta tha, utar ta tha taap ke jaise ab ke jo utra to mujhpe may bhi kuch asar nahi karti kaun sa woh chaargar hai jo murde ko zinda kar de saans tooti jo ek baar dobara phir basar nahi karti... kaun khuda, kaisa khuda gar bharosa uth gaya to us insaan ki wo khudaai bhi kadar nahi karti kabhi hawaayen, fizayen, balaayen sab ahwaal deti thi ab naambar ki chiththiyan bhi teri kabar nahi karti...
uske hone par ab yakeen kahan se laayen apne ghar ke liye zameen kahan se laayen wo jo arsh pe basaane ki baaten karta tha us shaks jaisa fitna haseen kahan se laayen bankar khuda mere zahan wo mein baith gaya jo jhuke na jaanib wo jabeen kahan se laayen uski har baat maan jaane ko ye dil karta hai jo usko bula le de wo taskeen kahan se laayen usse pare jaane ka bahana socha bhi nahi jo toot na saken wo lawahiqeen kahan se laayen teri mahfil mein hum bhi khade hein dekh to jo gaur farmaye wo haazreen kahan se laayen ... arsh - heaven fitna - magician zahan - thoughts jaanib - towards him jabeen - forehead takseen - comfort, peace lawaiqeen - relationship hazreen - audience
ek din tum meri tasveer se kuch naraaz the humne apni tasveer apne haathon mita di jab humne bhi ye hi guzaarish ki tumse tumne meri baat hanskar hansi mein udaa di haq maangna to bahut aasaan hai janaab haq dena par to baat zid par pahuncha di koi gila nahi magar ek baat zaroor kahenge ek choti si guzarish bhi bahaano se manaa di ....
likhne ko kai baaten likh sakte hein kissa-e-mulaaqaten likh sakte hein magar darte hein zamaane ki nazar se raaz-e-chaandni raaten likh sakte hein...
raasta dekhte hue kisika, aaj phir shaam ho gayi din beeta, aur ek aur din ki zindgi tamaam ho gayi guzarta hua waqt ruka nahi, phir se guzar gaya meri umeed meri aankhon mei badnaam ho gayi...
haathon mein haath aane se kya jannat naseeb hoti hai kya kabhi dil se bina mile, dil ki dhadkan kareeb hoti hai koi bhi fanaa nahin hota raah-e-mohabbat mein yahan jo ulfat mein majboor ho bus uski haalat ajeeb hoti hai humne bahut sirfire aashiq dekhe hein is jahaan mein bhalaa ashiqui bhi kisi shaks ki kabhi najeeb hoti hai?? ab yeh dil kabhi dhokha na khaayega, bus tay kar liya kyunki dard se abas paane ki bus ye tarqeeb hoti hai.... fanaa - sacrifice ulfat - love najeeb - noble abas - indifference
har ek mujrim munsifi ka kalam uthaaye baitha hai, doston ki bazm mein khanjar chupaaye baitha hai... kahin daaman se lipat na jaayen ahbaab-o-yaar isliye apne hi daaman me aag lagaaye baitha hai...
raat ka habeeb beshaq chaand hota hai, lekin uska sachcha aashiq aaftaab hai, chaand aata hai baadlon ke hijaab mein, aaftaab hamesha rahta be-naqaab hai, chaand ke aagosh mein rakh kar bhi, har raat ko sooraj ka itekhaab hai, kyuki mahtaab ka mijaaz barfana hai, sooraj ka pyaar ek jalti hui aag hai....
dil de hi diya hai us khuda ne agar to uska pyaar karna bhi bahut zaroori hai tum na maano to kahir alag baat hai, waise  bin ishq ke zindgi adhuri hai koi shaks nahi aaya is zameen par jo zindgi bhar is balaa se door rah saka goya jeene ka sabab chahiye to ishq karna laazmi hai, majboori hai...
dua se kaam chalta nahi, dawa kahin milti nahi tere diye dard se aakhrish mile nijaat kaise kaise sukoon mile zindgi ko, kaise karaar aaye jahan sirf hum ho, bhalaa mile wo hayaat kaise ...
sulagti saanson ko kuch to karaar de do chahe ek hi raat ka magar pyaar de do hum jahaan luta denge tere kadmo pe tum hume khud par itna ikhteyaar de do jism rookha rookha sa lagta hai tere bin is jism choo kar thodi si bahaar de do khud par se yakin ab uth sa gaya hai tum mere dil ko ab apna aitbaar de do meri rooh ko jahan sukoon nijaat ho kuch der ke liye mujhe wo dayaar de do... ikhteyaar - haq, right nijaat - freedom dayaar - house
मुझे अब भी टूट कर बिखरना आता है किसी के प्यार में जीना मरना आता है गर तूने उकसाया तो सच तेरी कसम मुझे अब भी हर हद से गुज़रना आता है  गर आइना टूट गया तो परवाह नहीं  मुझे अपने आप से संवरना आता है  मेरे क़दमों में आज भी इतना दम है मुझे तनहा ही सफ़र करना आता है  तवज्जोह न दी तो क्या जीये नहीं?  मुझे अपनी साँसों से उलझना आता है  खुदा के लिए खुदा का वास्ता न देना   के मुझे उस खुदा से भी लड़ना आता है 
Rishte wahi rahte hein, haalaat badal jaate hein armaan wahi rahte hein, khayaalat badal jaate hein tum kya samjhoge jalti shamaa ke sulagte dard ko, jalaa deti hai parwaane ko jab jazbaat badal jaate hein..
hum dhokhebaazon se khud ko bachaate rahe sochte the dhokha dena dushmano ka kaam hai hume kya pataa tha ke dosti ke libaason mein dushmano ne diya dosti ko farebi ka anjaam hai
ek zamaana beet gaya tera deedaar kiye ke ab dil ko rokna mere bus mein nahin sabr kiya beshaq ab besabr hua jaata hai ab tujhse hijr sach tere hi haq mein nahi....
khud ko badal paana bhi bahut mushkil hai yahaan, aur duniya ko kisike liye badalte yun bhi dekha nahi..
tasveeren bolti hein mujhse raat raat bhar jab koi door hokar bhi mere paas hota  hai deewaron par uski parchai dikhaai deti hai aur uska saaya mere khwaab mei sota hai main saans leti hoon uski chhdi saanson se ye jism uski tapish mein aatishbaar hota hai kitne khayaal tod dete hein ye soch sochkar har wo khayaal jo usse agar begana hota hai apne hi dil se hum  pareshaan ho jate hein jab wo hume bhulakar uske gum me rota hai bikhar jaata hai har mulaakat ke baad jo mera zahan wo ek ek pal baar baar pirota hai...
tum mere kafan mein ek alaav chhod dena ho sake meri kabr par ek chaadar odh dena mera jism tere aane tak thanda na ho jaaye isliye meri rooh ko jalti shamaa se jod dena...
phir ek bhooli si kahani yaad aati hai phir ek yaad darwaaza khatkhataati hai jo saaya hum peeche chhod aaye the us saaye ki parchaai bahot sataati hai waasta bhi den use ko kis baat ka den rishte ki dor aaj jodo, kal khul jaati hai ek soorat jo mere zahan se nikal gayi thi aaine mein phir wo kyu nazar aati hai...???
unki aankhon mein khud ko dekha tha garche aansu ke saath unhone hum bahaa diya, hum chupe baithe the jin kone mein, kaajal ki dhaar chalaayi aur hume gira diya
phir neenden kahin kho gayin hein, ke dastak palkon par deta hai koi raat bhar jagaata hai aur phir subah masumiyat se poochta hai 'arre..." aankhen kyun uneendi si hein, lagta hai kal phir tum jee bhar kar royi kya kal raat bhar phir jaagi ho tum, kya kal raat tum phir nahi soyi"....
har shaks dil mein hazaaron khwaaishen palti hein sirf chand khwaaishen hi haqeeqat mein dhalti hein kai  namurad mar jati hein, haalaat se majboor hokar kai zindgi bhar seene mein chupchaap machalti hein
kabhi aadat, kabhi kismet aur kabhi fitrat nahi milti, taqdeeren badal sakte hein magar himmat nahi milti...
hamaari subah aati hai, hamaari shaam aati hai har dhadkan is dil ki magar kyun tere naam aati hai bahot bekaar si zindgi ho gayi hai yaarab bin tere koi aur nahi sirf teri yaad hi ab mere kaam aati hai
aag barasti hai aasmaano se aur nazar aansuon se sookh gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi ab to megh barsa, baarish de, ghar har ke sabko gud- dhaani de ab to dharti ko chunar oda ab to har khet jo ji bhar ke paani de phir se bandha de har wo aas, jo tujhe judte judte ab toot gayi bhar de baadal aasmaan mein, jagaa wo umeed jo chhoot gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi bula de us baarish ko is baras bhi jo teri khudaai se rooth gayi........
इस दिल में कितने अरमान मचलते हैं हर रोज़ हम कितनी बार तुमपे जीते हैं और तुम पर ही तो रोज़ मरते हैं कितनी बार सांस लेते हैं याद नहीं जितनी बार भी मगर सांस लेते हैं हर सांस हर वक़्त तेरे नाम करते हैं न अहसास होता है सर्द हवाओं का न ही कभी गर्मी की लू सताती है तेरे नाम से बस बारिश को याद करते हैं
kal ki baaten sataa rahi hein, teri yaaden phir aa rahi hein, teri khushboo jo lipat gayi thi, meri saanson se ab aa rahi hein....
bahot aasaan tha uska yun raaste badalna muskurate hue ek baar ruk ke dekh leta mere aankhon mein aasu aate hue
ab tak sarsaraahat baaki hai , ab tak khumaar utra nahi, tera tassavvur hi kaafi hai, mere hosh udaane ke liye, kaise raat kati mat pooch, kaise din guzaarenge maaloom nahi, shaam ko milne ka waada hai, ek tasvir bhej de tab tak dil bahalaane ke liye ...
wo naaz dikhaate hein to hum naaz uthate hein  bhalaa apno ko kabhi yun nakhre dikhaate hein baar baar roothne ki adaa jaale kahan se aayi hai hum jitna manaate hein woh utna hi sataate hein...
उदासी बाँट लो अपने दुश्मनों से, ऐसे दोस्त क्या जो उसका सबब बन जाते हैं इससे तो वो पराये कहीं अच्छे हैं, जो आपके दुखों में दो आंसू बहाने आते हैं
hum na jaante the ke rishte yun badalte hein mohabbaton ke pal yun parwaan chadte hein na-ummeediyon ke baad jab aas jaagtii hai to amaavas ko bhi aasma pe chaand nikalte hein...
aajkal koi kisi ka bhi intezaar nahi karta, koi kisi beparwaah se pyaar nahi karta, ye to hamara hausla tha jo nibhate rahe warna koi kisike liye khud ko bezaar nahi karta..
kya tumne baadlon ko hamare wasl ka kissa sunaaya hai??? lagta hai tabhi saawan bhi tumse ijaazat lekar aaya hai....
lagta hai tumne baadlon ko hamare wasl ka kissa kal raat sunaaya hai tabhi to toot kar dekho aaj saawan aaya hai.... hamare hijr ka mausam bhugta zaamane bhar ne aur milan ki raat ke baad sara jahaan baarish mein yun bheeg paaya hai... hum na jaante the teri is adaa ki khumaari par angdaai lega aasmaa bhi aur yun barsega jaise uska mahboob aaya hai
har boond barasne se pahle ghabraati hogi baadalon se bichadne pe aansu bahati hogi kabhi sochti hogi ke kahan jaakar giroongi kabhi gir jaane ke darr se darr jaati hogi kabhi khuli hui seep ka mukhda dekhkar moti banane ke sapne zaroor sajaati hogi aur kabhi samandar mein bahti laharon se apni purani pahchaan par itraati hogi neeche jungle mein bahte naalon ko dekh man hi man machliyon se batiyaati hogi aur kabhi aag mein girne ki soch bhar se woh bechari choti si boond jal jaati hogi aur jab barsate megh usko dhakelte honge chupchaap se rela bankar baras jaati hogi phir jaise sasuraal mein ram jaati hai dulhan is zameen mein waise hi ram jaati hogi,,,,
pyaar aur jung mein sab jaayaz hai... kahin zamaane se ladna padta hai... kabhi dushmano ko manana padta hai.. kahin muskuraahat mein aansu hote hein kabhi rote hue bhi muskurana padta hai... kyunki... pyaar aur jung mein sab jaayaz hai..
ab shabd zubaan par aate nahi ab dil ke taar jhanjhanaate nehi jin rishton ko bhoole waqt hua ab wo rishte hume rulate nahi... pahle intezaar rahta tha kisika ab uske liye hum dil dukhate nahi har saans jis shaks ke naam thi ab usko yaadon mein bhi laate nahi... tasveeron se baaten karte the ab tassavvur bhi uska sajaate nahi bechainiyon ka sabab banaa tha jo usko ab khwaab mein bhi bulate nahi..
जलती शामों को बुझाने  आ जाओ एक रात मेरे संग बिताने आ जाओ ... सुबह का सूरज बेरंग लगे सुबह से मेरे दिनों को रंग लगाने आ जाओ .... रात की रानी शब् में खुशबू घोलती हैं  गजरे की कलियाँ बालों से  बोलती हैं  जुल्फें तकियें पर बिखरी हैं बेकल हो अपनी उँगलियों से सुलझाने आ जाओ ... चंद अरमान अब दिल में मचलते हैं  तेरे सायों के नीचे मेरे साए पलते  हैं छावं में, धूप में, बारिशों के रूप में बदलते मौसम के बहाने आ जाओ ...   जुबां पर लम्बी उदासी का  पहरा है  दिल में लगा  ज़ख्म   अभी भी गहरा है  बस तुझसे मिलने को बेकरार हुए हैं मेरी तन्हाई को मिटाने आ जाओ ... गुंचों को फिकर नहीं बहारों को असर नहीं किसी को भी मेरी दीवानगी की खबर नहीं  सारा आलम बेपरवाह हुआ  बैठा है  तुम ज़माने भर को बताने आ जाओ ...
अब तक मुझसे तेरा इंतज़ार ख़त्म नहीं हुआ मेरी जिंदगी पर तेरा इख्त्यार ख़त्म नहीं हुआ .. यूँ तो एक दिन मुकम्मल हो जाता है वक़्त भी लेकिन इस दिल से तेरा प्यार ख़त्म नहीं हुआ ... बहारें आकर चलीं गयीं अब पतझड़ का मौसम है के पतझड़ में भी उम्मीद-ए-गुलज़ार ख़त्म नहीं हुआ.. क्या क्या भुलाएँ दिल से और क्या कुछ दफनायें मेरी सपनो का मैय्यद-ओ-मज़ार कह्तं नहीं हुआ ... नश्तर इतने लगे हैं के रूह तक घायल हो गयी परेशां हैं के अब तक उसका वार ख़त्म नहीं हुआ ... हमने ज़माने ने में बहुत लोगों को आजमाया है फिर भी उस एक शख्स पर ऐतबार ख़त्म नहीं हुआ .. कुछ पल तस्कीनियों के खरीदने निकले थे एक दिन मगर उसका गम बेचने का बाज़ार ख़त्म नहीं हुआ .. आज शिकायत कर रहे हैं लेकिन खुद से शर्मिंदा हैं के किसी से किये वादों का उधार ख़त्म नहीं हुआ ...
मेरे परों पर मेरे आशियाने का भार रहता है ये नाज़ुक बदन सैकड़ों तिनकों का बोझ सहता है ... पनाह ढूँढ़ते ढूँढ़ते जिंदगी की शाम हो गयी है अब एक सहमी हुई रात का इंतज़ार रहता है ... बिन बोले मेरी बात हो जाती है उस खुदा से  बिन मांगे अक्सर ठिकाना भी मिल जाता है  बस नहीं मिलती तो वो चीज़ जो सुकून है  जिसके लिए दिल-ए-मासूम  बेज़ार रहता है ... कभी गुजारिश नहीं की, कभी ख्वाइश नहीं की  बस गुज़ारे किये हर पल को आखरी पल समझ   एक जुस्तजू रह गयी कहीं कोने में दिल के वहीँ दिल के जिस कोने में मेरा दिलदार रहता है ..
न हाथों से छूकर न होंठों से लगाकर  बस आँखों से देख उसे प्यार करते हैं वो कहीं भी मौजूद नहीं है लेकिन हम  सपनो में उसका दीदार किया करते हैं.... मेरी सरहदों के पार उसका बसेरा है मेरी तवज्जो के परे उसकी हस्ती है बारहां उसके दर से खाली लौटकर भी सजदे उसी के दर के बार बार करते हैं  फिर भी उससे किनारा नहीं कर पाते  के मेरी रूह उसके जिस्म में बसती है कुछ तो उसमे ऐसा है के उसपर हम   खुद से ज्यादा ऐतबार किया करते हैं...
जली हुई और जलती रात में फर्क बस इतना है... एक राख हो जाती है, एक राख कर जाती है एक हिज्र की बेचैनियों में जला देती है एक वस्ल-ए-आतिश में ख़ाक कर जाती है एक उफक के अख्तर तक भी निगल लेती है एक अमावसी आसमां को महताब कर जाती है एक रौशनी के उजाले बर्दाश्त नहीं हो पाती और एक ज़र्रे ज़र्रे को आफताब कर जाती है ... hijr - separation, wasl-e-aatish - fire of meeting with lover, ufak - horizon, akhtar - stars, mahtaab - moon, zarra - small particle, aaftaab - sun
chupa kar rakha tha taqdeer ko haathon mei kahin nazar na lag jaaye kahin raqeebon ki kismet se mila toh raazdaano ne cheen liya kaun jaanta tha ke wo kartoot thi habeebon ki..
kahte hein woh mujhe ke mujhpe unki nazar rahti hai yeh hum bhi jaante hein ke woh humse bekhabar nahi...
kambakht mera dil mera hokar bhi aksar mujhse khafa rahne laga hai kya kashish hai tujhme maloom nahi ke aajkal tera dard ye sahne laga hai...
saagar kabhi pyaas bujhaa nahi sakta saawan kabhi aag lagaa nahi sakta sab kisse hein sunaane ke waaste ta umr koi jhootha rishta nibha nahi sakta...
mere zakhmon par malham lagaane ki adaa bhi niraali thi muskurakar kar wahi haath rakha jo jagah dard se khaali thi wo raqeebon ki tarah haal-e-dil poochte rahe dard mein bhi jis habib se meri khamosh nazar zakhm dene par sawaali thi... raqeeb - dushman, habib - dost, sawaali - questioning
tum karo sitam jeebhar, aur hum sahenge kabhi uff na karenge, chupchaap rahenge jo unhe aata tha, unhone dil khol k kiya jo hume aata hai hum shaan se karenge...
saagar kabhi pyaas bujhaa nahi sakta saawan kabhi aag lagaa nahi sakta sab kisse hein sunaane ke waaste  ta umr koi jhootha rishta nibha nahi sakta..
जो सौंधी सी खुशबू तेरे बदन से आती है जाने क्यों पहली बारिश की याद दिलाती है जैसे सूखी मिटटी महकती है बूंदों से मिलकर मुझे बाद वस्ल के वैसी ही महक सताती है... जूनून चढ़ता है, उतरता है सैलाब की तरह और मचलती लहरों की तरह बदन लहरातें हैं धडकनों का शोर शायद सुनता कोई भी नहीं हाँ, हर सांस तेरी मेरी बिन पीये बहक जाती है ... आँखें मूँद कर पड़े रहते हैं औंधे से तकिये पर न हवास रहता है न कोई खोज न कोई खबर आलम मदहोशी का अंधेरों को मदहोश करता है चादर उलझ कर हमारे पाँव पाँव से टकराती है ... तिल तेरे जो दिन के उजालों में दिखते नहीं रात को उँगलियाँ उन्हें छू छू कर देख लेती हैं बहुत कुछ पढ़ लेते हैं जो छुपा रहता है आँखों में नज़र से नज़र अगर भूले से मिल जाती है ...
hasraten  ginte ginte waqt tak mukkammal ho gaya namuraad dil ki magar ek chaahat bhi poori na ho saki hamara kya hum to yu bhi ummeeden chhod baith the intezaar mein lekin aankhen na band ho saki na ro saki
sabr ki taaqeed dekar mujhe lafzon mein uljhao nahi is mashware ka meri zindgi ke pahluon se milao nahi main koi ahmak nahi jo ishaaron ko jaan na sakoon mujhe ye mithi mithi baaten sunaakar samjhaao nahi gar aa sako to aa jao zamaane ke bandhan todkar warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi hausla maine rakha hai ab tak sirf tere kahne par shart hai magar miyaad waqt ko tum aur badaao nahi...
tum kahte ho so jao kyunki khwaab mein wasl hoga lekin khwaab dekhne ke liye neend aana zaroori hai bistar par lete lete sochte hein hum aksar raat ko ke jab tak neend nahi aati hijr ka aalam ek majboori hai ginte hein baar baar unhi taaron ko aasma dekhkar jo taare jataate hein ke humare beech kitni doori hai chand tumhen bhi dikhta hoga ghat ta badta raat ko magar bin tumhari nazdeeki ke chaandni adhoori hai...
aainon mein bhi kabhi unhen hum dikha karte the khud ko wo jab dhoondhte the to hume paate the mile arse baad to baat karne ko bhi nahi thi bus hamare beech antheen aur ghahre sannaate the
kyun ye mausam itna satata hai, sirf tere pahlu ki yaad dilata hai, mera rom rom chingaari ban kar, mujhi ko be-saakhtah jalaata hai. panaah gar milti hai tere aagosh ki, ... tab kahin thoda sa chain aata hai, aur tujhse dur hona meri saanson ko jaane kyun rokta chalaa jata hai....
yaaden bhi tarange hein, bin baat ke bhi machal machal jaati hein, na jaane kyun kabhi kabhi palkon par baarish ban kar chaati hein...
jisne is dil se khela wo koi paraaya na tha hum kadam to tha magar humsaya na tha
kyun ye mausam itna satata hai, sirf tere pahlu ki yaad dilata hai, mera rom rom chingaari ban kar, mujhi ko be-saakhtah jalaata hai. panaah gar milti hai tere aagosh ki, ... tab kahin thoda sa chain aata hai, aur tujhse dur hona meri saanson ko jaane kyun rokta chalaa jata hai....
kya kabhi koi poochta hai ke tum kaun ho kyu mere wajood se tum is tarah katraate ho kya naata hai hamara kya tum nahi jaante kyun mujhe pahchaan ne se mukar jaate ho
kuch khaas nahi bus ek jaan pahchaan thi warna mujhse wo itne beparwaah na hote mere zakhm dekhkar yu andekha na karte agar mere hote to mere dard me wo b rote
haath thaama tha tab waakif n the ke haathon mein taqdeer basti hai lakiron mein muqqaddar rahta hai aur muqaddar se hi kismet sajti hai
har shaks kho jaata hai waqt ke pardon ke peeche, bus tinka bhar uski soorat yaad aati hai kabhi kabhi.... yu to bujh jaati hai har aag der-saver khud hi magar koi chingaari rah rah k bhadak jaati hai kabhi kabhi.... ... jo daawa karta hai yaadon ko dil mein rakhne ka, uski jhooth mooth baaten dil jalati hein kabhi kabhi.... jo milne ki dua karta tha magar aaj mein jeeta hai bus uski ki baaten dil ko choo jaati hai kabhi kabhi....
ek paigaam, sare aam, likh diya deewar pe kisi ne bedharak hokar, jo kabhi mere liye tha, magar tab... ... mazmoon uska tha, kalam kisi aur ki, zubaan kisi aur ki aur ishaara jane ab kis jaanib...
kya tumne baadlon ko hamare wasl ka kissa sunaaya hai??? lagta hai tabhi saawan bhi tumse ijaazat lekar aaya hai....
lagta hai tumne baadlon ko hamare wasl ka kissa kal raat sunaaya hai tabhi to toot kar dekho aaj saawan aaya hai.... ... hamare hijr ka mausam bhugta zaamane bhar ne aur milan ki raat ke baad sara jahaan baarish mein yun bheeg paaya hai... hum na jaante the teri is adaa ki khumaari par angdaai lega aasmaa bhi aur yun barsega jaise uska mahboob aaya hai
har boond barasne se pahle ghabraati hogi baadalon se bichadne pe aansu bahati hogi kabhi sochti hogi ke kahan jaakar giroongi kabhi gir jaane ke darr se darr jaati hogi ... kabhi khuli hui seep ka mukhda dekhkar moti banane ke sapne zaroor sajaati hogi aur kabhi samandar mein bahti laharon se apni purani pahchaan par itraati hogi neeche jungle mein bahte naalon ko dekh man hi man machliyon se batiyaati hogi aur kabhi aag mein girne ki soch bhar se woh bechari choti si boond jal jaati hogi aur jab barsate megh usko dhakelte honge chupchaap se rela bankar baras jaati hogi phir jaise sasuraal mein ram jaati hai dulhan is zameen mein waise hi ram jaati hogi,,,,
kahin zamaane se ladna padta hai... kabhi dushmano ko manana padta hai.. kahin muskuraahat mein aansu hote hein ... kabhi rote hue bhi muskurana padta hai... kyunki... pyaar aur jung mein sab jaayaz hai..
ab tak sarsaraahat baaki hai , ab tak wo khumaar utra nahi, ke tera tassavvur hi kafi hai, mere hosh udaane ke liye... kaise raat kati ye mat pooch, kaise din bitega maloom nahi, shaam ko milne ka waada hai, ek tasvir bhej de tab tak dil bahalaane ke liye ...
aajkal koi kisi ka bhi intezaar nahi karta,  koi kisi beparwaah se pyaar nahi karta,  ye to hamara hausla tha jo nibhate rahe  warna koi kisike liye khud ko bezaar nahi karta..
hum na jaante the ke rishte yun badalte hein mohabbaton ke pal yun parwaan chadte hein na-ummeediyon ke baad jab aas jaagtii hai to amaavas ko bhi aasma pe chaand nikalte hein...
ranj uski berukhi se nahi, wo aadatan rookha insaan tha hume to zakhm uski meethi meethi baaton ne diye hein...
kal ka socho to soch choti ho jati hai us khuda ke aage kya meri hasti hai mujhe sirf apna khyaal sataata hai uski chaya mein sari kaynaat basti hai...
Tere bina ye saawan bhi nahi baras raha, Sach use bhi humare wasl ka intezaar hai
aag barasti hai aasmaano se aur nazar aansuon se sookh gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi ab to megh barsa, baarish de, ghar har ke sabko gud- dhaani de ab to dharti ko chunar oda ab to har khet jo ji bhar ke paani de phir se bandha de har wo aas, jo tujhe judte judte ab toot gayi bhar de baadal aasmaan mein, jagaa wo umeed jo chhoot gayi bhala aisi bhi kya naraazgi e khuda, kya teri rahmat rooth gayi bula de us baarish ko is baras bhi jo teri khudaai se rooth gayi........
Aaj bhi hamara milan adhoora rah gaya, aur uspar badal nahi barse.. Jaise nain tere aawan ko tarse ye zameen saawan ko tarse...
wo naaz dikhaate hein to hum naaz uthate hein bhalaa apno ko kabhi yun nakhre dikhaate hein baar baar roothne ki adaa jaale kahan se aayi hai hum jitna manaate hein woh utna hi sataate hein...
उदासी बाँट लो अपने दुश्मनों से, ऐसे दोस्त क्या जो उसका सबब बन जाते हैं इससे तो वो पराये कहीं अच्छे हैं, जो आपके दुखों में दो आंसू बहाने आते हैं
kal ki baaten sataa rahi hein, teri yaaden phir aa rahi hein, teri khushbuain jo lipat gayi thin, meri saansen mahka rahi hein..
ranj uski berukhi se nahi, wo aadatan rookha insaan tha hume to zakhm uski meethi meethi baaton ne diye hein...
hud-e-parasti ne use guroor ki yun lat lagaa di, khuda ka banda khud ko khuda samajh baitha
wo muqaddar mein to tha taqdir mein shaamil nahi tha kismet ne to aksar milaya magar wo mera haasil nahi tha  bharosa lahron pe karna shaayad ek nasamajhi hi thi meri wo shaks mera nakhuda to tha magar mera saahil nahi tha meri shaksiyat ke har pahlu se waakif tha wo muddaton se lekin meri zindgi ke andheron ujaalon mein daakhil nahi tha sirf chaahne bhar se yahaan khuda mil jaata nahi kisi ko bhi wo mohsin to tha garche meri mohabbat ke kaabil nahi tha ... haasil - gain, nakhuda - boatsman, saahil - shore, shaksiyat - personality, waakif - known, daakhil - admitted, mohsin - benefactor, garche - even though
kya hijr ki aatish kaafi nahi thi jalaane ko,  ke ab tum aag mein utre ho guzar jaane ko? us sangdil ke jism mein dil nahi paththar hai jo aadatan bhool gaya wasl ke zamaane ko...
rishton ki baat karte hein, tahzeeb nahi lekin dosti nibhaane ki, bhalaa kaayaron mein himmat kahan toofaano se takraane ki... mitti daalne ke baad, kabr mein tabut ko rakha jaata hai,  log magar jeete jee hi rasam nibhate hein Gul-afshaane ki....
khuda se haath uthaakar maange bhi to kya maange hasraten yun hi sochne bhar se woh poori karta hai uske dar pe har wo shaks sajde mein sar jhukata hai jo us paak parwar-digaar ki rahmaton se guzarta hai duaon ka asar zaroor hota hai gar dil se maangi jaye uske naam lene bhar se chehra noor sa nikharta hai dilon mein basta hai har ek ke, maseeha bankar har  us maula ki sohbat mein sabka wajood sawarta hai... mere sab doston ko ramadaan kareem...
doobte ko kabhi tinka bachaa nahi sakta saagar ki lahron se wo takra nahi sakta ye to bus ek hausla hai jo bachaa jata hai ke sahaare ke bina koi paar ja nahi sakta.... khush hone ke liye ye insaan soch leta hai bahut taaqat hai usme kuch kar guzarne ki naadaan hai wo khud ko is kaabil samajta hai ke bin kismet ke wo patta tak hila nahi sakta...
yeh zindgi bhi ek tarfa raasta hai sirf aage hi aage badte jaate hein jo manzar ek baar guzar jaate hein dobara kabhi laut nahi paate hein bahut log choo jaate hein paas se bahut log milkar bichad jaate hein jo rishte jeevan bhar saath dete hein wo bhi ek din bikhar jaate hein
har shamaa ko parwaana nahi milta har parinde ko aashiyaana nahi milta gharonde jo banaate hein tinke jodkar kai baar unko bhi thikana nahi milta ... umr daraazi ki duaayen kya karenge jab kisi ko jeene ka bahana nahi milta bada hi sangdil hai duniya ka dastoor yahan maut milti hai aabodana nahi milta...
अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें उस दिन अपनी साँसों में ही बसा लेती और जिंदगी उन्ही साँसों को लेकर बिता देती.... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो लहू के कतरे बना तुम्हें रगों में समा लेती और जिंदगी की रंगीनियाँ उन्ही से सजा लेती.... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें आँखों में काजल की तरह छुपा लेती और जिंदगी भर बादलों को कालिख उधार देती ... अगर ये जानती के वो मुलाक़ात आखरी होगी तो तुम्हें भींच कर इस तरह गले से लगा लेती और जिंदगी तेरे आगोश है खुद को समझा देती ...
क्या करेंगे हम चाँद का   हमे दीया ही काफी है  उसकी रौशनी पर सिर्फ मेरा ही इख्तेयार है  चाँद के नखरे कौन उठाये के उसको गुरूर है  के ज़माने भर को उसकी चांदनी से प्यार है .... .. हाँ मेरा दीया सिर्फ मेरे खातिर ही  जलता है  उस वजूद का हर कतरा मेरे लिए पिघलता है  और चाँद बेचारा समझ ही नहीं पाता के वो  खुद जलता है या सूरज के इशारों पे चलता है  किस किस को बेचारा रोशन करे रात भर के  ज़माने भर का उम्मीदों का उसपर उधार है ... मेरा दीया रातभर मेरे घर का अँधेरा मिटाता है  रोज़ रोज़ खुद को जलाता है और बुझाता है  और चाँद के उजाले पर कोई क्या भरोसा करे  कभी अपना आकर बढाता है कभी घटाता  है   और फिर सो जाता है काली रातों में कई बार  होता जब भी अपनी ही चांदनी से बेज़ार है ...
Jo yaadon mein ho usko bhulaya nahi jaata jo bhool jaata hai wo kabhi yaad nahi aata... badaa ajeeb sa dastoor hai is mohabbat ka kabhi duri sahi nahi jati, kabhi paas aya nahi jata.. sunane ko to kahaniyan banaayi jaati hein poocho to haal e dil apna bataaya nahi jaata... paigaam likh kar doston ko to diye jaate hein ek khat bhi hum tak magar bhijwaya nahi jaata.. log duhaai dete hein apni tanhaaiyon ki harsu magar saath kisika bhi unse nibhaya nahi jaata khayaalon mein janam bhar ki baat sochi jati hai haqiqat mein kabhi bhi unse bulaya nahi jaata khelte hein aksar jis dil se wo anjaan bankar raham khakar us dil ko kabhi bahalaya nahi jaata aadat hai har baat mein sach chupaane ki aisi suna hai unse khud se bhi sach bataya nahi jata hum kyunkar pareshaan karenge apno ko aise jab humse dushmano ko bhi sataya nahi jaata jitna chaahe begana bane jitna chaahe door jaye haal-e-dil unka ab duniya se chupaya nahi jaata uski nazar se berukhi hume zaahir nahi h
sabr hai ab na karaar hai bus ek lamba ntezaar hai.. koi dekhe kab tak raah uski jiske liye dil beemaar hai... gar roothte hein hum toh wo manaate nahin kabhi gar wo roothen hein toh yeh dil kyu bekaraar hai... roz roz aisa hi  hota hai subak kar dil yu rota hai aansu to udhar bhi hein iska beshaq aitbaar hai ... woh raaton ka jaagna aur needon se bhagna koi yun hi nahi besabab hota din raat bezaar hai... teen lafz bhi poore nahi do lafz hein adhoore sahi sirf dhai shabd kah do ab ke tumhen bhi pyaar hai...
हमने अपना इश्क ज़माने में सरेआम कर डाला खुद ही खुद को जहां भर में बदनाम कर डाला तुम ने तुम तक पहुँचने के सब रास्ते बदल डाले मेरे जूनून ने एक पुल बनाने का अंजाम कर डाला तुम दरवाजों और खिडकियों पर पर्दा करते रहे मेरी दीवानगी ने आसमान तक को बार कर डाला तुम मेरे भेजे पैगाम चुपचाप पढ पढ जलाते रहे हमारे इश्तेहारों ने मगर ख़त का काम कर डाला ये चारागर भी कितना हैरान है मुझे जिंदा देख कर के मेरी जिद ने ज़हर को दवाओं का नाम कर डाला हम चिराग-ए-मोहब्बत जलाते रहे, तुम बुझाते रहे के मेरी हिम्मत को आधियों ने भी सलाम कर डाला मुद्दा ये है के तुम तक आंच पहुंचे मेरी फुगाओं की हमने अपनी हस्ती को आतिश के नाम कर डाला जो तुम्हें मेरा दिन में बुलाना रास न आया हो कभी जा हमने अपनी साड़ी जिंदगी को शाम कर डाला कोई तो जरिया होगा तुम तक आने का ये सोच हमने अपनी हर रहगुज़र को तेरा मुकाम कर डाला
waqt ne kabhi itna intezaar nahi karwaya har gadhi kisi shaks ka khyaal yun aaya sabr karen bhi toh kyun karen bhalaa barson sabr kiya bhi toh kya paaya???
har lakeer mein ek tajurba chupa hota hai ke umr nahi gini jaati chehre ki daraaron se ....
चलो माना हम दस्तूर-ए-हबीबी नहीं जानते, यारी निभाने का सलीका नहीं पहचानते, फर्क प्यार और दोस्ती में हमें समझ नहीं आता. इन रिश्तों को निभाना कहीं सिखाया नहीं जाता, बहुत पशोपेश में पड़े हैं कैसे उन्हें समझायें, इस कशमकश से  निकलने   का रास्ता कहाँ से लाये, मगर तुम तो समझदार हो, इन सब मामलों में बहुत होशियार हो, तुम्हें तो इन दोनों में फर्क करना आता है फिर तुम्हारा दिल क्यूँ मचल मचल जाता है, हमें तो लाख बार दिन रात समझाते हो, फिर क्यूँ पग पग पर फिसल जाते हो, कहते हो सिर्फ दोस्त हो हमारे, कभी बताते हो अपनी जागी रातों के नजारे, क्या तुम्हे पता है क्या चाहते हो, क्यूँ हमें समझाकर खुद को झुठलाते हो, तुम्हे भी शायद इस बात की हैरानी है, दोस्ती और प्यार के फर्क पहचानने में परेशानी है!!!
याद करना और याद रखना दो मुख्तलिफ बातें हैं एक में भूलते नहीं और एक में भुला नहीं पाते कभी जीते जी इंसान यादों का सिलसिला छोड़ देता है कभी मर कर भी उन यादों से सुला नहीं पाते ...
dard de kar koi yun chalaa jaata hai, jaise dua de di ho umr daraazi ki...
कुछ कहने के लिए कुछ सुनाने के लिए जुबां होती है हाल-ए-दिल बताने के लिए तुम खामोश रह कर अपनी बात कहते हो हम बोलते हैं अपनी बात समझाने के लिए...
कुछ लोग रिश्तों की अहमियत दूसरों को समझाते हैं हाँ, मगर मेरे पूछे कुछ सवालों से अक्सर डर जाते हैं मेरी शिकायत उस एक शख्स से है ज़माने से नहीं जो मुझसे गिला करते हैं और मुझसे ही आँख चुराते हैं
जूनून इतना के जूनून भी शरमा जाए हौसला इतना के हर तकलीफ घबरा जाए सताती है, पकाती है, कभी कभी रुलाती है और दिन भर मुझे पागल बनाती है मगर फिर भी मेरी छोटी सबसे अच्छी है इतनी बड़ी हो गयी मगर अब भी बच्ची है
hijr se koi gila nahi, kyunki woh taqdeer hai wasl se ilteja nahi, wo sapno ki taabeer hai, bus meri tamanaayen tujhse mukhaatib hein aur meri jholi khaali hai, tu dil ka kabeer hai... kal raat fir hui hai sapno mei adhuri mulaakat aaj subah phir se dil bechain aur adheer hai ab to intezaar hai, gum-e-furqat mit jaane ka yu waqt kab meharbaan ho banta basheer hai.. hijr- separation, wasl - union, ilteja - request, tabeer - base, mukhatib - addressed, kabeer- large, immense, gum-e-furqat- sorrow of separation, basheer - messenger of good news
kab tak raah dekhen uski ya allah k aane ki koi soorat nahi nazar aati har roz din bhi khaali khali guzarta hai, har roz raat bhi khali khaali laut jaati...
sach, humne sabr bhi kiya aur intezaar bhi humne dillagi bhi ki, aur behad pyaar bhi, lekin sirf fatwa jaari karna hi aata tha use k wo n samjha mera izhaar bhi, mera iqraar bhi..
कोई वादा नहीं कोई करार भी न था दिल को उसके आने का इंतज़ार भी न था हम तो उस मरासिम को याद करते रहे जिस मरासिम पर मेरा कभी इख्तेयार न था
ek ummeed hai, ek intezaar hai, ek bharosa hai, ek aitbaar hai, us beparwaah ka jisne kaha tha ke use bhi mujhse toot k pyaar hai
कभी अपनी बाजुओं में मेरी कमी खली है? कभी मेरी चाहत तेरे दिल में पली है? कभी ऐसा लगा के सर मेरा तेरे काँधे पर हो, कभी ख्वाइश तेरी मेरे जिस्म में ढली है? कभी चुपके से यादों ने घेरा है, कभी लगा मुझपे हक सिर्फ तेरा है,  कभी रातों को जागते हुए सोचा है, तेरे प्यार की आग में कोई जली है? कभी तन्हाई में आंसू बहे हैं, कभी मेरे ख्याल तेरे ख्यालों  में रहे हैं, कभी हाथ बड़ाया है नींद में मुझे आगोश में लेने को, और सांस तेरी तेज़ तेज़ चली है? कभी महफ़िल में दिल उदास हुआ है कभी लगा शायद मैंने तुम्हें छुआ है कभी रास्तों पर चलते चलते भटक कर  तुम वहां पहुंचे हो जहाँ मेरी गली है??? 
कोई वादा नहीं कोई करार भी न था दिल को उसके आने का इंतज़ार भी न था हम तो उस मरासिम को याद करते रहे जिस मरासिम पर मेरा कभी इख्तेयार न था 
अब तो पैगाम भी दीवारों पर लिख दिए जाते हैं कभी शायराना लिबास में कभी नज़्म के लिहाज़ से ज़रुरत ही नहीं पड़ती रिश्तों में गर्मियां ढूँढने की हर सवाल का जवाब मिलता है यहाँ एतराज़ से  ... मिसाल दें भी तो क्या हासिल, के हर गोश में यहाँ बैठा है कोई अपना ही अपनी ही आज़ से शक अपनी नीयत पर करना बहुत मुश्किल है लोग शक पैदा कर देते हैं ख़ूबसूरत अंदाज़ से हमने घर के दर-ओ-दरवाज़े खोल रखे हैं कब से देखे कौन दिलाता है निजात मेरे गम-ए-फ़राज़ से शिकायतें हमे भी बेशुमार हैं उस ना-आशना से लेकिन अब क्या उम्मीद रखें उस ना-शिनास से लब खामोश रहते हैं और आँखें झुकी झुकी सी तकाज़ा भी ना कर पाए किसी भी जवाज़ से तेरे जानिब मेरी तवज्जो एक शौक है पुराना वरना छोड़ दिया तुझे देखना गलत नज़र अंदाज़ से ... gosh - corner, aaz - lust, desire, faraaz - extreme, na-aashna - stranger, na-shinaas - ignorant, jawaaz - excuse, justification
बहुत रात बीतने की बाद भी हर रोज़ किसी के क़दमों की आह्ट सुना देती है नींद आ आ कर अटक जाती है आँखों में और पलकें उसके ख़्वाबों पर गिरा देती है हर गोश ज़हन का उसका तस्सव्वुर करता है हर पोर नयनों का उसके अश्कों को भरता है आगोश में जिस्म होता नहीं मगर फिर भी बाज़ुएँ उसके पहलु में पकड़ कर लिटा देती है...
एक सन्नाटा सा छा जाता है बज़्म में उसकी चुप्पी अक्सर बहुत बोलती है  हर तरफ खामोशी का दौर हो जब उसकी निगाहें मेरा हर लफ्ज़ तोलती है... 
sirf aankhon mein basne se unhe taabeer nahi milti, badaa hausla chaahiye unko haqiqat banaane ke liye, ek soch kaafi nahi aasmaano ki bulandi choone ko, khwaabon ko bhi pankh chaahiye unko paane ke liye
नफरतों को छोड़ कर तुम अब जीना सीख लो नाराजगी में जीकर भला क्या लुत्फ़ आएगा सारे गिले-शिकवे एक दिन तुम तक रह जायेंगे जब रकीब तेरा जहां छोड़ कर वहाँ चला जाएगा...
har hassen shai khwaabon mein hi milti hai.. kyunki zindgi ki sachchai bahut be-swaad hoti hai
क्यूँ बेवजह खुश होता है क्यूँ जार जार रोता है ये जीवन के रंग हैं क्यूँ रंगों में यूँ खोता है जो तेरा नहीं वो किसका है इस बात में क्या रखा है सपने अक्सर टूट जाते हैं क्यूँ सपने तू पिरोता है जी नफरतों को तज के तो जीना आसान होगा ख़ुशी को गले लगाने से दिल हलका होता है .. सब दोस्त हैं यहाँ तेरे कोई भी तेरा रकीब नहीं जा अपनी जिंदगी को ढूढ़ ला क्यूँ गम में दामन भिगोता है कोई आज है वो कल न होगा जिंदगी का कोई भरोसा नहीं जब तक है मौज कर यार क्यूँ कल के लिए आज खोता है
जिंदगी में मुहब्बत को हमेशा दो पैमानों में नापा जाता है एक जब आलम बेखुदी का होता है एक जब बेखुदी के बाद होश आता है जिंदगी बे-जुबां नहीं मगर मुहब्बत में बयानी की क्या बातें एक जब जुबां खामोश होती है एक जब अहसास लफ़्ज़ों में समाता है जीने के लिए वक़्त नहीं मगर नामुराद मुहब्बत के आलम में कभी दिल सिर्फ यार को ढूंढता है कभी हर घड़ी उसका ख़याल आता है...
khudaai us khuda ki kisi ko badal na sake... kismet mein the magar saath na chal sake.
दिन सुबह से ही थका थका आता है और टूट कर फिर रोज़ गुज़र जाता है कैसी जिंदगी है दोस्तों के आजकल वो सूरज भी कम रौशनी दिखता है..... बस एक भीड़ सी दिखती है हरसूं और हर आदमी अपने में मसरूफ है हज़ारों चेहरे किसी अपने के लगते हैं मगर हर शख्स पराया नज़र आता है .... सुबह सोचतें हैं के शाम अच्छी होगी शाम होते ही सुबह का इंतज़ार करते हैं दिन भर रात का ख्याल चैन नहीं देता और रात को दिन का डर सताता है ... अचानक सब बदला सा लगने लगा है और ये दिल उदास सा हो जाता है कभी दोस्त दुश्मन दिखाई देते हैं कभी दुश्मनों में दोस्त नज़र आता है ... क्या बीतती हुई उम्र का ये खौफ है या आते हुए वक़्त की दस्तक सुनती हूँ क्या ये मेरा वहम है या ऐसा ही होता है क्या सबकी जिंदगी में ये दौर आता है?
किस बात का गुरुर, किस बात का गुमान आखिर तेरा इस ज़मीन पर वजूद क्या है? क्या तुझे इल्म है कोई कैसे जी रहा है किसी की जीस्त का आखिर हुदूद क्या है? तुझे तेरे बेगानेपन की कसम देते हैं एक बार सोचकर देख बिछड़े हबीब मेरे किस किस के गुनाहों की सज़ा दी मुझे तेरी बेवजह नाराजगी का शहूद क्या है? wajood - existence, ilm - knowledge, jeesat - life, hudood - boundary, habeeb - friend, shahood - manifestation
bade tangdil hote hein jinhe ikhteyaar diya jaata hai phir har mod par us sangdil ka intezaar kiya jaata hai tumhari talaash shaayad mukammil nahi hogi kyunki wo beparwaah hote hein jinhe dil se pyaar kiya jaata hai
un mukaamon par ab barf girti hai, jahan kabhi teri aane se aatish bhadak jaati thi, sahra ban kar ujad gaye wo chaman jahan se kabhi baad-e-naseem aati thi
dard de kar koi yun chalaa jaata hai, jaise dua de di ho umr daraazi ki...
वोह गालिबन खुद को खुदा समझ कर इतराते रहे हम आदतन उनके सजदे में सर झुकाते रहे संग का सीना रखने वाले संग न रहे सके और हम खुद को काफिर से मुसलमां बनाते रहे ... ghaaliban - often, sang - marble, kaafir - non- believer, muslamaan - one who worships
bahaaron ne chaman loot lene ka dastoor banaaya hai, tabhi to khwaaron ko phoolon ke beech ugaaya hai...
intezaar nazar ko nahin, is dil ko hota hai, nazar sirf aansu bahaati hai, dil jab bhi rota hai..
कोई ख्वाइश नहीं, अब कोई शिकायत भी नहीं हम उनसे अब वो जुनूनी मोहब्बत भी नहीं मेरा हर ख़याल उसके ख्याल से गुज़रता था कभी मेरे ज़हन में जिसकी अब अहमियत भी नहीं चुरा कर नीदें ख्वाब देखा करते थे रात भर मेरी आँखों को उन सपनों की अब आदत भी नहीं हदों के पार जाना मेरी फितरत थी कभी शायद मेरी तम्मनाओं में अब उसकी हसरत भी नहीं खुदा कहने से कोई खुदा बन नहीं जाता यहाँ के मेरे दिल में उसके लिए अब इबादत भी नहीं ए काश वो मेरे इन लफ़्ज़ों को समझ ले गौर से मुझे उसकी आरजू नहीं, मुझे उसकी ज़रुरत भी नहीं...
कभी कभी मेरे लफ्ज़ लोगों को चुभ जाते हैं किसी को अपने दिए दर्द का अहसास कराते हैं बोलते नहीं सिर्फ सफ़ेद कागज़ पर बिछ कर स्याही की कालिख में मेरी रातों का रंग छुपाते हैं.
कसम भी खाई हैं, वादा भी किया हैं तेरे साथ जीने के इरादा भी किया हैं जिससे जिंदगी का मुकाम हासिल हुआ है उससे इक्तेज़ा हक से ज्यादा ही किया है ... दिल का हाल कांच पर लिख कर दे दिया अब चाहे वो संभाले या फानूस बना ले वो समझ सके तो खुदा खैर करे गरचे इकरार हमने कुछ सादा ही किया है ... इक्तेज़ा - demand, फानूस - lamp of glass, गरचे - even though, सादा - plain, simple
इतनी मुशक्कत के चाँद  पर नक़्शे कदम छोड़  सकता  है  गर  चाहे तो मेहनत से तकदीर का मुहं मोड़ सकता है  कौन कहता है आसमान की हदों के पार जाना मुमकिन नहीं  इंसान कोशिशों से आसमान को भी चद्दर सा ओड़ सकता  है  
हर ख़याल को संजोना और करीने से सजाना  तन्हाई में फिर हर पल बार बार बिताना  किसी की फितरत में गुरेज़ी भरी है  किसी को पड़ता है हर रोज़ समझाना  एक ही ज़मीन पर कितनी जुदा शक्सियतें  एक मेरे बिना एक सांस लेने से भी डरता है  और एक अपनी साँसों का तकाज़ा मुझ से करता है  एक कहानी बन गया और एक ने लिखा अफसाना  इंतज़ार का किस्मत ने हसीं सिला दिया  वक़्त ने फिर जिंदगी के रास्तों पर मिला दिया  कभी दोस्त समझा था वो शख्स जान बन गया  और जान का दुश्मन बन गया एक दोस्त पुराना 
देने को तो लोग खुदाई लुटा देते हैं एक लम्हा मसर्रत को जान गवां देते हैं फिर हमने कौन सा उनका जहाँ माँगा था बस एक टुकड़ा आसमां माँगा था ... वो बज़्म-ओ - महफ़िलें सजाते हैं दुनिया भर के आशिकों को बुलाते हैं फिर हमने कौन सा उनका आशियाँ माँगा था बस एक टुकड़ा आसमां माँगा था .... वो खुद खुलेआम ख़त भिजवाते हैं उसपर ज़माने भर से ताकीदें करवाते हैं फिर हमने कौन सा उनका बयान माँगा था बस एक टुकड़ा आसमां माँगा था .... कसमें खाते हैं और वादे भूल जाते हैं दैरो-हरम के किस्से अक्सर सुनाते हैं फिर हमने कौन सा उनका ईमान माँगा था बस एक टुकड़ा आसमां माँगा था.... मसर्रत - happiness, बज़्म-ओ - महफ़िलें- parties, आशियाँ - house, ताकीदें -orders, बयान - explanation, दैरो-हरम - places of worship, ईमान - Conscience
हर इंतज़ार की एक मियाद होती है हर रिश्ता वक़्त के साथ बदलता है कौन उम्र भर साथ देता है किसी का कौन पग पग आपके साथ चलता है दामन थामना कोई बड़ी बात नहीं दामन थाम कर रखना दिलदारी है रंजिश दिल में कोई रखे तो रखा करे मेरा नसीब अब उसकी हथेली में पलता है मुझे गुरुर है अपने इन्तिखाब पर एक ऐसा शख्स जो शातिर नहीं वो जो सिर्फ मेरे लिए ही जीता है वो जो सिर्फ मेरे रंग में ढलता है ....
दिल के ज़ख्म उसको बार बार दिखाते रहे  यूँ ही जुर्रत करते रहे और करके घबराते रहे उसने हमेशा की तरह वादा किया मिलने का  हमेशा की तरह हम उसकी बातों में आते रहे ... रिस रिस कर जो एक नासूर सा बन गया था  मेरे वो घाव  मेरे अपने हाथ ही   सहलाते रहे    मुझमें गैरत है गुरुर नहीं, ये बता न सके  बाकी दुनिया ज़माने की बातें उसको बताते रहे... इंतज़ार का न सबब था न सवाल था न मलाल था  फिर भी लुत्फ़-ए-इंतज़ार  बेसबब  उठाते रहे  एक दौर था सदियों का जो एक दिन में बीत गया और हम बीते हुए दौर का गुंजल सुलझाते रहे... क्या गिला करें जब उसको परवाह  ही नहीं दिल को ये बात हम अक्सर समझाते रहे  एक अरसा गुजरने के बाद ये अहसास हुआ उससे  अब आशनाई न थी जिसको आशना बनाते रहे..   फिर एक खुदा बदला खुदा की रहमत बदली  और हम उसकी रहमतों के आगे सर झुकाते रहे  अब  मिला जो एक रहनुमा नसीब बनकर  आज  तो   दिन भर हम अपनी तकदीर पर इतराते रहे... 
क्या है तुम में, क्यूँ इतना सताते हो क्यूँ चैन नहीं पड़ता, क्यूँ इतना याद आते हो? क्या कमी है मेरे प्यार में इतना ही बता दो किस लिए मेरा दिल बार बार तोड़ जाते हो... कुछ तो रही होगी पहचान हमारी पिछले जन्मों की कुछ तो सबब होगा मेरी इस दीवानगी का  कुछ तो है जो किसी को नज़र नहीं आता  कुछ तो है जो तुम इतना दिल लुभाते हो.... मुझे जीना तुम बिन एक सज़ा लगने लगा  है तुमसे दूर मेरा वजूद क़ज़ा सा लगने लगा है हर वक़्त एक डर रहता है तुमसे बिछड़ने का  मेरे मासूम दिल को क्यूँ इतना रुलाते हो  मेरी सुबह तुम्हारे नाम से शुरू  होती है मेरी रात तेरे नामे से बिस्तर में गुज़रती है  मौत दे दो अगर साथ नहीं दे सकते मेरा दूर रह कर क्यूँ हर वक़्त मेरा दिल जलाते हो 
kitne zakhm dikhayen, kitne chupkar rakhen dard ki intehaa itni ke aah nikal hi jaati hai roz subah unke naam se aankh kholte hein har roz raat ko unki yaad behad sataati hai...
जब धूप तेज़ होती है तो अपनी परछाई ही पाँव बचाती है रात के स्याह अंधेरों में अपनी नींद ही आगोश में बुलाती है दिल की धड़कने जब बढती हैं दर्द में, परेशानियों में अपनी ही हथेली, मासूम दिल को प्यार से सहलाती है अपनी जिंदगी की लड़ाई इंसान अक्सर खुद लड़ता है बेवजह वक़्त ए गर्दिश में गैरों का दामन पकड़ता है ये तो तकदीर की कहानियाँ हैं जो लकीरों में छुपी हैं और खुद तकदीर ही वक़्त बे वक़्त ये हिकायतें सुनाती है हार मानोगे तो सिर्फ हार का ही सामना होगा जीत क्यूंकि सिर्फ इरादों में बसा करती है खुद को तूफ़ान समझो और जिंदगी को एक चट्टान के तूफानी हवा अक्सर अपना रास्ता खुदा बनाती है....
रूठा उनसे जाता है जो मना ले, कभी प्यार से कभी डांट कर वापस बुला ले जिस से रिश्ता निभाना इक बोझ लगे, अच्छा है वक़्त रहते उससे पीछा छुड़ा ले मेरी जिंदगी कोई रुका हुआ तालाब नहीं मेरी जिंदगी एक उफनती नदी है जिसको समंदर भी खोजेगा एक दिन ताकि मेरी हस्ती में खुद को समा ले रास्तों में मिल ही जाते हैं मुसाफिर अजनबी कोई आशना बन जाता है कोई अघ्यार मुझे उस रहबर की तलाश है आज तक जो मेरी मंजिल को अपना समझ अपना ले....
जिस हाल में वो रखता हैं, मुस्कुराते हैं हर ख़ुशी हर गम में तेरे दर पे आते हैं खुदा की नेमत में क्या छुपा खुदा जाने हम सिर्फ शुकराने में अपना सर झुकाते हैं ..